
Islamic & Motivation
February 12, 2025 at 05:23 PM
✅ Jawab: Aamal 📖
Jab insaan wafat paata hai, to uska maal, rishtedar aur duniya ki cheezen yahin reh jati hain, magar uske ache aur bure aamal uske saath qabar mein jate hain.
Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya:
"Mayyat ke saath teen cheezen jati hain: uska maal, uske rishtedar aur uske aamaal. Phir do cheezen wapas aa jati hain (maal aur rishtedar), aur ek cheez uske saath qabar mein rehti hai (uske aamaal)."
> (Bukhari,Muslim)
💡Sirf Ilm aur Aamal hi wo cheezein hain jo insaan ke liye qabar aur aakhirat mein nafa dene wali hain, is liye hamesha ache aamaal ki koshish karni chahiye! ✨
❤️
👍
💯
🤲
🌹
😮
🥰
84