We_r_Sunni
We_r_Sunni
January 26, 2025 at 01:02 PM
*🥀 SHAB E ME'RĀJ KE NAWAFIL NAMAZ 🌙✨* Maah e Rajab ki 27wi shab ko Namaaz e Ishaa ke baad in namaazo ko padhen (1) 2 Rak'at nafl Tahyat ul Wuzu padhen Har rak'at me Surah al-Faatiha ke baad 1 baar Aayat ul Kursi aur 3 baar Surah al-Ikhlaas padhen In shaa Allāh har katra paani ke badle 700 rak'at nafl namaaz ka ṡawaab milega (2) 12 Rak'at Namaaz 4-4 karke padhen Pehli 4 rak'at me har rak'at me Surah al-Faatiha ke baad 3 martaba Surah al-Qadr padhen. Salaam ke baad baith kar 70 martaba ‘Laa ilāha illallāhul malikul haqqul mubeen’ padhen Dusri 4 rak'at me har rak'at me Surah Faatiha ke baad Surah Nasr 3 martaba padhen Salaam ke baad baith kar 70 martaba ‘Laa ilāha illallāhul malikul haqqul mubeen’ padhen Teesri 4 rak'at me har rak'at me Surah Faatiha ke baad Surah Ikhlaas 3 martaba padhen Salaam ke baad baithkar 70 martaba Surah Alam nashrah padhen Phir yaqeen ke saath ALLĀH sub'hān wa ta’ala ki baargaah me us ke Habeeb sallallāhu Alaihi wasallam ke waseele se dua karen. In shaa Allāh ALLĀH ta’ala har jaa'iz haajat puri farmayega (3) 4 Rak'at Namaaz 2-2 karke padhen Har rak'at me Surah al-Faatiha ke baad Surah al-Ikhlaas 27 martaba padhen Salaam ke baad 70 martaba Durood shareef padhen aur 70 martaba Astaghfaar padhen : Astaghfirullāhallazee laa ilāha illa huwal hayyul qayyoom wa atoobu ilaihi’ aur apne gunaaho ki maghfirat talab karen. In shaa Allāh ALLĀH ta’ala apni rahmat e kaamila se gunaah muaf farmakar maghfirat farmayega (4) 20 Rak'at Namaaz 2-2 karke padhen Har rak'at me Surah al-Faatiha ke baad Surah al-Ikhlaas 1 martaba padhen Phir yaqeen ke saath Dua karen. In shaa Allāh ALLĀH ta’ala jaan o maal ki hifaazat farmayega ▪▪► Agar koi Surah yaad na ho to har rak’at me Surah Faatiha ke baad Surah Ikhlaas ya dusri jo Surah yaad ho wo padhen ▪▪► Aur kisi wajah se tamaam namaaz na padh saken to jitni padh sakte hain utni padhen aur phir Tilaawat e Qur’an, Kalma, Zikr ya Durood shareef padhte rahen ▪▪► Aur apne liye aur tamaam ummate Mustafa ﷺ ke liye Dua e khair aur apne aaba wa ajdaad aur tamaam marhoomeen ke liye Duā e maghfirat karen Aur tamaam musalmano ke liye dua e khair kare Allah hum Sunni Musalmano ko Mahfooz rakhiye aur unke liye dua kare jin ke hum par ehsaan hain aur hum se jin ke huqooq ul ibaad me galti (gunaah) ho gaye ho Aur jin ko takleef pahunchai hai ya jin ka dil dukhaaya hai un sab se muafi maang len aur jo jo naraaz [roothe hue] hain unhe mana len aur jin se ta’alluq [rishta] toota hua hai un se phir se rishta jod len ▪▪► Jin ki namaazen Qaza ho gai hain wo pehle jitni mumkin ho utni Qaza namaaz padhen taake bariuz zimma ho jaaye Aur tauba karke ye pakka ahad karen ke aa'inda sab namaaz waqt par ada karne ki koshish karenge aur namaaz ke faiz o barkaat haasil karte rahenge Nafl namaaz ka pura sawaab usi ko milta hai jo Farz namaaz waqt par ada karta hai aur pehle un namaazo ki qaza padh leta hai jo chhut gai hai 5 waqt ki Qaza namaaz me Rak'at ki ta’adaad : Fajr 2, Zohar 4, Asr 4, Maghrib 3, Ishaa 4, Witr 3 Maah e Rajab ki 27wi taarikh ko namaaz e Zohar ke baad 4 Rak'at namaaz ek salaam se padhen Pehli Rak’at me Surah Faatiha ke baad Surah Qadr 3 martaba, Dusri me Surah Faatiha ke baad Surah Ikhlaas 3 martaba, Teesri me Surah Faatiha ke baad Surah Falak 3 martaba aur chothi me Surah Faatiha ke baad Surah Naas 3 martaba padhen Salaam ke baad Durood shareef 100 martaba aur Astaghfaar 100 martaba padhen Phir yaqeen ke saath ALLĀH sub'hān wa ta’ala ki baargaah me us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke waseele se dua karen. In shaa Allāh ALLĀH ta’ala har jaa'iz muraad puri farmaega Maah e Rajab ki 27wi taarikh ko Roza rakhen 27 Rajab ko Roza rakhkar Iftaar ke waqt Dua karna, 10 saal ke gunaaho ka Kaffaara hai
❤️ 👍 18

Comments