Raza Academy
January 31, 2025 at 01:11 PM
Aaj *2nd Shaabaan* ki shab Hazrat e *IMAM E AAZAM* رضي الله عنه ki khaas shab hai... khusoosan Is Azeem IMAAM ko khoob Isaale sawaab karein aur INKA zikr aam karein...
Imam e Aazam ki wilaadat 80 hijri mein Iraq ke shaher kufa me huwi.
Aap taabaeen ki jama'at mein se hain.
Kayi Sahaba se mulaaqaat ka sharf haasil huwa jin mein hazrat e Anas bin Maalik, Sahl bin Saad, Abul Tufail Amir jaise ajillah Sahaba shaamil hain.
Imam e Aazam ke ustaad taqreeban 4000 hain jin mein *Imam Baaqar aur Imam Jaafar e Saadiq* bhi hain.
💫Aap har jumuah apne waalidain ke isaale sawaab ke liye 20 sone ke sikke garibon mein taqseem farmate the.
💫40 saal tak isha ke wuzu se fajr ki Namaz adaa farmaye.
💫55 martaba Hajj farmaya.
💫30 saal musalsal roze se rahe (saal me 5 rozon ke alaawa)
💫Aksar ek ya do rakat mein Quran e paak khatm farmaate the.
💫Jis maqaam par rooh qabz huwi Aapne wahan 7000 quran khatm farmaye.
SubhanAllah..!!!
Aapka wisaal 2 shaabaan 150 hijri me Baghdad e Muqaddas mein huwa .
*Aapki Namaz e Janaza 6 martaba
❤️
👍
💐
🌹
🖤
53