Aaj Ki Hadees ~
Aaj Ki Hadees ~
January 20, 2025 at 12:36 AM
🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃 🌺حَدَّثَنَا حَفْصُ بْنُ عُمَرَ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ مَنْصُورٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ ذَرٍّ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ يُسَيْعٍ الْحَضْرَمِيِّ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ النُّعْمَانِ بْنِ بَشِيرٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ الدُّعَاءُ هُوَ الْعِبَادَةُ ، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ قَرَأَ:‏‏‏‏ *_وَقَالَ رَبُّكُمُ ادْعُونِي أَسْتَجِبْ لَكُمْ إِنَّ الَّذِينَ يَسْتَكْبِرُونَ عَنْ عِبَادَتِي سَيَدْخُلُونَ جَهَنَّمَ دَاخِرِينَ"_* سورة غافر آية 40:60 🌼रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: दुआ ही इबादत है, फिर आपने आयत पढ़ी: *_"तुम्हारे रब का फ़रमान है, तुम मुझे पुकारो, मैं तुम्हारी पुकार ( दुआ ) को क़बूल करूँगा, जो लोग मुझसे मांगने से घमंड करते हैं, वो बहुत जल्द जहन्नुम में ज़लील हो कर दाखिल होगें।"_* (सूरह ग़ाफिर 40:60) 🌺Rasoolullah ﷺ ne farmaya: dua hi ibadat hai, phir aap ne aayat padhi: _*"tumhara rab farmata hai, tum mujhe pukaro, main tumhari pukaar ( dua ) ko qubool karunga, jo log mujh se mangne se ghamand karte hain, woh bhot jald jahannum mein zaleel ho kar daakhil honge."*_ (Surah Ghafir 40:60) 🌼رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: دعا ہی عبادت ہے، پھر آپ نے آیت: «وقال ربكم ادعوني أستجب لكم إن الذين يستكبرون عن عبادتي سيدخلون جهنم داخرين _*"تمہارا رب فرماتا ہے، تم مجھے پکارو، میں تمہاری پکار ( دعا ) کو قبول کروں گا، جو لوگ مجھ سے مانگنے سے گھمنڈ کرتے ہیں، وہ بہت جلد جہنم میں ذلیل و خوار ہو کر داخل ہوں گے۔"*_(سورة غافر 40:60) 🌺 The Messenger of Allah (peace and blessings be upon him) said: "Dua (supplication) is worship." Then he recited the verse: _*"Your Lord has said, 'Call upon Me; I will respond to you. Indeed, those who are too proud to worship Me will enter Hell in humiliation.'”*_ (Surah Ghafir 40:60) 📜 *wazahat:* Dua Allah Ta’ala ke saath ek khaas amal hai aur sirf usi ke liye makhsoos hai, kyun ke dua bazaat khud ibadat hai. Agar koi shakhs ghairullah se dua karta hai, to woh darasal ibadat ka rukh kisi aisi hasti ki taraf mod raha hai jo ibadat ke laayeq nahi. Ibadat ke tamam aqsam (qism), khwah woh dua ho, qurbani ho, ya kisi aur shakl mein ho, sirf Allah ke liye makhsoos hain. Lihaza, ghairullah se dua karna shirk ke aqsaam mein aata hai, kyun ke ye Allah ki khuda-wandi aur ikhtiyaraat mein dosron ko shareek karne ke barabar hai. Mazeed wazahat ke liye, agar koi shakhs kisi makhlooq, jaise pathar, sooraj, darakht, farishte, jinn, wali ya nabi se aisi cheez maange jo sirf Allah ke ikhteyar mein hai, to woh darasal us makhlooq ko ibadat ka mustahiq thehra raha hai. Misaal ke taur par, kisi se zindagi, mout, rizq ya doosre ghaibi maamlaat mein madad talab karna, jo ke sirf Allah ke bas mein hain, shirk hai. *Ye aqeeda wazeh karta hai ke tamaam dua aur istimdaad (madad maangna) sirf Allah Rabbul Alameen hi se ki jaye, kyun ke wahi har cheez par mukammal Qudrat rakhta hai.* 📚 _*Sunan Abi Dawud: jild 2, kitab al witr 8, hadith no. 1479*_ *Grade sahih* ●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~● https://whatsapp.com/channel/0029Va49w043QxRuVlTnt42a 📷 *INSTAGRAM* https://instagram.com/_aaj_ki_hadees ●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
❤️ 👍 😢 🌸 💐 💔 😂 😮 🤍 65

Comments