
Aaj Ki Hadees ~
January 27, 2025 at 12:38 AM
🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌺 حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عِيسَى، وَمُسَدَّدٌ، وَهَذَا حَدِيثُهُ، قَالَا: حَدَّثَنَا عَبْدُ الْوَارِثِ، عَنْ أَيُّوبَ، عَنْ نَافِعٍ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: مَنْ حَلَفَ فَاسْتَثْنَى، فَإِنْ شَاءَ رَجَعَ، وَإِنْ شَاءَ تَرَكَ غَيْرَ حِنْثٍ .
🌺रसूलूल्लाह ﷺ ने फरमाया: जिसने क़सम खाई और इन्शाअल्लाह कहा तो वो चाहे क़सम को पूरा करे चाहे ना पूरा करे वो हानिस ( क़सम तोड़ने ) वाला ना होगा।
🌺 Rasoolullah ﷺ ne farmaya: jis ne qasam khayi aur Insh'a Allah kaha to woh chahe qasam ko poora kare chahe naa poora kare woh Haanis ( qasam torne wala ) naa hoga.
🌺 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم تم نے فرما یا: جس نے قسم کھائی اور ان شاءاللہ کہا تو وہ چاہے قسم کو پورا کرے چاہے نہ پورا کرے وہ حانث ( قسم توڑنے والا ) نہ ہو گا ۔
🌺The Messenger of Allah (peace be upon him) said: "Whoever takes an oath and says 'InshaAllah' (if Allah wills), then he may either fulfill the oath or not, and he will not be considered a violator (of the oath)."
📜 *wazahat:* Qasam ke saath "In sha Allah" kehna is baat ka izhaar hai ke insaan apne tamam maamlaat Allah ki mashi’at ke supurd karta hai. Agar kaam nah ho sake to qasam nahi tootti, kyun ke Allah ki marzi ko muqaddam rakha gaya. Yeh imaan aur aajzi ka amali muzahira hai.
Lekin agar "In sha Allah" kehne ka maqsad mehez dhoka dena ya khayanat ho to yeh bada gunaah hai. Aisa rawaiyya qoul-o-fe'l ke tazad ko zahir karta hai aur Allah ke nazdeek sakht na-pasandeeda hai. Lihaza, niyat ki durusti aur ikhlaas ko hamesha malhooz rakhna chahiye. Irshad baari taala hai:
_*...aur jo koi Allah par bharosa kare, to Allah iss/uss ( ka kaam banane ) ke liye kafi hai. yaqeen rakho ke Allah apna kaam poora kar ke rehta hai. ( albatta ) Allah ne har cheez ka ek andaza muqarrar kar rakha hai [📖Surah At-talaq 65:3].*_
📚 _*Sunan Abi Dawud: jild-3, Kitab Al-Aiman Wa Al-Nudhur 22, hadith no. 3262*_
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
https://whatsapp.com/channel/0029Va49w043QxRuVlTnt42a
📷 *INSTAGRAM* https://instagram.com/_aaj_ki_hadees
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
❤️
👍
🌸
🌹
🤍
56