
Aaj Ki Hadees ~
January 30, 2025 at 12:27 AM
🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌹حَدَّثَنَا بِشْرُ بْنُ مُحَمَّدٍ أنبأنا عَبْدُ اللهِ حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ شُعَيْبٍ حَدَّثَنِي عُمَرُ بْنُ يَزِيدَ النَّصْرِيُّ عَنْ أبِي سَلامٍ أنَّهُ أخْبَرَهُ عَنْ أبِي أُمامَةَ عَنِ النَّبِيِّ ﷺ قالَ:«ثَلاثَةٌ لا يَقْبَلُ اللَّهُ مِنهُمْ صَرْفًا ولا عَدْلا عاقٌ ومُنافِقٌ ومُكَذِّبٌ بِالقَدَرِ».
🌺सय्यदना अबु उमामा रज़ि अल्लाहु अन्हो से रिवायत है कि रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: तीन ऐसे लोग हैं कि अल्लाह तआला ना उनकी नफ़ल इबादत क़बूल करता है ना फ़र्ज़ इबादत: वालदैन का नाफ़रमान, एहसान जतलाने वाला और तक़दीर का इन्कार करने वाला।
🌹Saiyyadna Abu umama razi Allah anho se rewayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya: teen aise log hain ke Allah ta'ala naa un ki Nafil ibadat qubool karta hai naa farz ibadat: waledain ka nafarman, ahsaan jatlane wala aur taqdeer ka inkaar karne wala.
🌺سیدنا ابو امامہ رضی الله عنه سے روایت ہے کہ رسول صل الله اللہ ﷺ نے فرمایا : تین ایسے لوگ ہیں کہ اللہ تعالی نہ ان کی نفل عبادت قبول کرتا ہے نہ فرض عبادت: والدین کا نافرمان ، احسان جتلانے والا اور تقدیر کا انکار کرنے والا ۔
🌹Sayyiduna Abu Umamah (may Allah be pleased with him) narrated that the Messenger of Allah (peace and blessings be upon him) said: "There are three types of people whose voluntary and obligatory worship is not accepted by Allah: the one who disobeys his parents, the one who reminds others of his favors, and the one who denies destiny."
📜 *Wazahat:* Walidain ki nafarmani Islam mein ek bohot bada gunaah hai, kyun ke walidain woh hastiyan hain jinho ne oulad ki parwarish ki, unke liye be shumaar qurbaniyan di aur unki bhalai ke liye hamesha duago rahe. Ek nafarmaan oulad na sirf apne walidain ko takleef pohanchati hai balke Allah ki narazgi ka bhi sabab banti hai. Isi liye Nabi Kareem ﷺ ne farmaya: *"Kabira gunaah Allah ke saath shirk karna, walidain ki nafarmani karna hai.."* [📗Sahih Bukhari: 6675].
Isi tarah ehssan jatlana ek aisa bura amal hai jo neki ke asar ko zaail kar deta hai aur doosro ke dil mein sharmindagi aur takleef paida karta hai. Allah Ta'ala insaan ko neki karne ka hukm deta hai, lekin saath hi yeh bhi chahta hai ke woh neki ko khalis Allah ke liye kare aur baad mein is par kisi ko taane na de, kyun ke ehssan jatlane se nek amal ki rooh khatam ho jati hai. Nabi ﷺ ne farmaya: *"3 shakhs aise (badnaseeb) hain ke Allah Ta'ala Qiyamat ke din na unhe (nazar-e-rahmat se) dekhega, na unse (riza mandi wala) kalam farmayega, na unhe paak karega aur un ke liye dardnaak azaab hoga, unme se ek woh shakhs hoga jo apne diye par ehssan jatlane wala hoga..."* [📗Sunan Nasai: 2564].
Isi tarah taqdeer ka inkaar karna bhi ek sangeen gunah hai, kyun ke imaan bil-qadar Islam ke buniyadi aqaa'id mein se hai. Jo shakhs taqdeer ka inkaar karta hai, woh darasal Allah ki qudrat aur ilm-e-kaamil ka inkaar karta hai, halanke Allah Ta'ala har cheez ka ilm rakhta hai aur wohi tamam mamlaat ko chalata hai. Ek sacha momin wohi hota hai jo khushi aur gham, aasani aur mushkilat sab ko Allah ki taraf se samajh kar sabr aur shukr ka rawaiya ikhtiyar kare aur is baat par yaqeen rakhe ke jo kuch hota hai, woh Allah ki hikmat aur maslahat ke tahat hi hota hai.
📚 _*Bir ul Walidain lil Imam Bukhari: hadees no . 19*_
*Grade: Hasan*
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
https://whatsapp.com/channel/0029Va49w043QxRuVlTnt42a
📷 *INSTAGRAM* https://instagram.com/_aaj_ki_hadees
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
❤️
👍
😢
🌹
💕
💖
😮
🤍
65