Aaj Ki Hadees ~
Aaj Ki Hadees ~
February 2, 2025 at 12:37 AM
🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃 🌺‏‏‏‏ حَدَّثَنَا مُؤَمَّلُ بْنُ الْفَضْلِ الْحَرَّانِيُّ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا الْوَلِيدُ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا ابْنُ جَابِرٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ زَيْدِ بْنِ أَرْطَاةَ الْفَزَارِيِّ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ جُبَيْرِ بْنِ نُفَيْرٍ الْحَضْرَمِيِّ، ‏‏‏‏‏‏أَنَّهُ سَمِعَ أَبَا الدَّرْدَاءِ يَقُولُ:‏‏‏‏ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ:‏‏‏‏ ابْغُونِي الضُّعَفَاءَ فَإِنَّمَا تُرْزَقُونَ وَتُنْصَرُونَ بِضُعَفَائِكُمْ ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ أَبُو دَاوُد:‏‏‏‏ زَيْدُ بْنُ أَرْطَاةَ أَخُو عَدِيِّ بْنِ أَرْطَاةَ. 🌺नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: मेरे लिए ज़ईफ़ और कमज़ोर लोगों को ढूंढ़ो, क्योंकि तुम अपने कमज़ोरों की ( दुआओं की बरकत की ) वजह से रिज़्क़ दिए जाते और मदद किए जाते हो। 🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: Mere liye zaeef aur kamzor logon ko dhundo, kyun ke tum apne kamzoron ki ( duaon ki barkat ki ) wajah se rizq diye jate aur madad kiye jate ho. 🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، میرے لیے ضعیف اور کمزور لوگوں کو ڈھونڈو، کیونکہ تم اپنے کمزوروں کی (دعاؤں کی برکت کی) وجہ سے رزق دیئے جاتے اور مدد کئے جاتے ہو ۔ 🌺The Prophet Muhammad ﷺ said: "Seek out the weak and vulnerable for me, for you are given provision and granted help because of the blessings of your weak ones (through their prayers)." 📜 *wazahat:* Za'eef, be-kas aur nadar afraad ki ibadat aur duae khalis hoti hain, kyun ki woh aam tor par riyakari se pak hote hain. Unki be-basi aur khuloos ki barkat se Allah Ta'ala doosron par bhi reham farma deta hai. Allah Azzawajal in mohtajon ko rizq ata karna aur inki haalat sanwarna chahta hai, magar chunke yeh log doosron ke sahare ke mohtaj hote hain, is liye Allah Ta'ala inhein rizq pohnchane ke liye sahib-e-istitaat afraad ko bhi rizq deta hai aur inki madad ke liye digar logon ko waseela banata hai. Is tarah, kamzoron ki dua aur haajat ke sabab mu'ashre ke digar afraad bhi Allah ki rehmat aur madad ke mustahiq theherte hain. Is hadees mein maldaar logon ke liye nasihat bhi hai ke woh apne se kamtar darje ke logon ko haqeer naa samjhe, kyun ke inhen dunyawi aetbaar se jo asaniya haasil hain ye kamzoron ke baais hi hain, yeh bhi maloom huwa ke un kamzor musalmano ki duayen bohot kaam aati hain, yahi wajah hai ke Allah ke Rasool ﷺ ne un kamzor musalmano ki dua se madad talab karne ko kaha. 📚 _*Sunan Abi Dawud: jild 3, kitab Al Jihad 15, hadith no. 2594*_ *Grade Sahih* ●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~● https://whatsapp.com/channel/0029Va49w043QxRuVlTnt42a 📷 *INSTAGRAM* https://instagram.com/_aaj_ki_hadees ●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
❤️ 👍 🤍 🏵️ 💖 🤲 61

Comments