
Aaj Ki Hadees ~
February 6, 2025 at 12:23 AM
🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌺 حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مُحَمَّدٍ النُّفَيْلِيُّ، حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الْمُبَارَكِ، عَنْ وَبْرِ بْنِ أَبِي دُلَيْلَةَ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ مَيْمُونٍ، عَنْعَمْرِو بْنِ الشَّرِيدِ،عَنْ أَبِيهِ، عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: لَيُّ الْوَاجِدِ يُحِلُّ عِرْضَهُ وَعُقُوبَتَهُ ، قَالَ ابْنُ الْمُبَارَكِ: يُحِلُّ عِرْضَهُ: يُغَلَّظُ لَهُ، وَعُقُوبَتَهُ: يُحْبَسُ لَهُ.
🌺 हज़रत अम्र बिन शरीद रज़ि अल्लाह अन्हो अपने वालिद से रिवायत करते हैं कि रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: "मालदार का क़र्ज़ की अदायगी में टालमटोल से काम लेना उसकी बेइज़्ज़ती और सज़ा को हलाल कर देता है।" इमाम इब्न मुबारक (रहिमहुल्लाह) फ़रमाते हैं: "उसकी बेइज़्ज़ती को हलाल कर देता है, यानी उसके साथ सख़्ती से पेश आया जाए। और उसको सज़ा देना हलाल है, यानी उसे क़ैद किया जा सकता है।"
🌺 Hazrat Amr bin Shareed Razi Allah Anho apne walid se rewayat karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Maldar ka qarz ki adaigi mein taal matol se kaam lena uski be-izzati aur saza ko halal kar deta hai." Imam Ibn Mubarak (rahimahullah) farmate hain: "Uski be-izzati ko halal kar deta hai, yani uske sath sakhti se pesh aya jaye. Aur usko saza dena halal hai, yani use qaid kiya ja sakta hai."
🌺 حضرت عمرو بن شرید رضی اللہ عنہ اپنے والد سے روایت کرتے ہیں کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ مالدار کا قرض کی ادائیگی میں ٹال مٹول سے کام لینا اس کی بے عزتی اور سزا کو حلال کر دیتا ہے ۔ امام ابن مبارک رحیم اللہ فرماتے ہیں: اس کی بے عزتی کو حلال کر دیتا ہے ۔ یعنی اس کے ساتھ م سختی سے پیش آیا جائے ۔ اور اس کو سزا دینا حلال ہے ۔ یعنی اسے قید کیا جا سکتا ہے ۔
🌺Hazrat Amr bin Shareed (RA) narrates from his father that the Messenger of Allah ﷺ said: "The procrastination of a rich person in repaying a debt makes it permissible to insult him and punish him." Imam Ibn Mubarak (may Allah have mercy on him) says: "It makes it permissible to insult him." That is, (verbally) he should be treated harshly. "And it is permissible to punish him." That is, he can be imprisoned.
📜 *Wazahat:* Qarz ko waqt par ada karna zaroori hai kyun ke ye ek sharai aur ikhlaqi zimmedari hai. Agar koi shakhs qarz le aur muqarra waqt par ada naa kare, to qarz dene wale ko ye haq haasil hai ke woh hukmaran ya qazi se shikayat kare taake usay uska haq dilaya ja sake. Islami shari'at mein hukmaran aur qazi ka farz hai ke woh insaf ke taqaze poore karen aur haq daar ko uska haq dilayen. Agar maqrooz qarz ada karne ki isteta'at rakhta ho lekin jaan boojh kar takheer kare, to iske khilaaf sakhti barti ja sakti hai ya sakht kalami ki jaa sakti hai.
Rasoolullah ﷺ ne farmaya: *Maldar shakhs ka qarz ki adaigi mein taal matol karna ZULM hai,* agar tum mein se kisi shakhs ko kisi maldar ke picche qarz ki wasooli ke liye laga diya jaye (ke us se qarz wasool karo) to usay us ke picche lag jana chahiye [📗 Bukhari: 2287].
Agar maqrooz waqai qarz ada karne ki isteta'at nahi rakhta ho, to shari'at usay mohalat dene ya hatta ke qarz maaf karne ki targeeb deti hai. Islami falahi nizam mein bayt ul-maal se aise zarurat mandon ki madad ki jaati hai, lekin agar bayt ul-maal ka nizam mojood nahi ho, to samaaj ke dosre afraad ko zakat aur sadqat ke zariye uski madad karni chahiye.
📚 _*Sunan Abu Dawood: jild 3, Kitab Al-Aqdiyah 25, hadith no. 3628*_
*Grade Hasan*
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
https://whatsapp.com/channel/0029Va49w043QxRuVlTnt42a
📷 *INSTAGRAM* https://instagram.com/_aaj_ki_hadees
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
❤️
👍
😮
✅
😌
🤍
48