
Aaj Ki Hadees ~
February 8, 2025 at 12:20 AM
🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌺 حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ مُحَمَّدٍ، حَدَّثَنَا أَبُو أُسَامَةَ، عَنْ عَوْفٍ، عَنْ زِيَادِ بْنِ الْحُصَيْنِ، عَنْ أَبِي الْعَالِيَةِ، عَنْ ابْنِ عَبَّاسٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ غَدَاةَ الْعَقَبَةِ وَهُوَ عَلَى نَاقَتِهِ: الْقُطْ لِي حَصًى ، فَلَقَطْتُ لَهُ سَبْعَ حَصَيَاتٍ، هُنَّ حَصَى الْخَذْفِ، فَجَعَلَ يَنْفُضُهُنَّ فِي كَفِّهِ، وَيَقُولُ: أَمْثَالَ هَؤُلَاءِ فَارْمُوا ، ثُمَّ قَالَ: *يَا أَيُّهَا النَّاسُ إِيَّاكُمْ وَالْغُلُوَّ فِي الدِّينِ، فَإِنَّهُ أَهْلَكَ مَنْ كَانَ قَبْلَكُمُ الْغُلُوُّ فِي الدِّينِ .*
🌺हज़रत अब्दुल्ला बिन अब्बास रज़ि अल्लाह अन्हु कहते हैं के रसूल अल्लाह ﷺ ने अक़ाबा की सुबह फ़रमाया, उस वक़्त आप अपनी ऊंटनी पर सवार थे। मेरे लिए कंकरीयां चुन कर लाओ, चुनांचे मैंने आपके लिए सात कंकरीयां चुनीं, वो कंकरीयां ऐसी थीं जो दोनों उंगलीयों के बीच आ जाएं, आप उन्हें अपनी हथेली में हिलाते थे और फ़रमाते थे: इन्हीं जैसी कंकरीयां मारो, फिर आप ﷺ ने फ़रमाया *लोगो दीन में ग़ुलू से बचो क्योंकि तुमसे पहले के लोगों को दीन में इसी ग़ुलू ने हलाक किया।*
🌺Hazrat abdulla bin abbas razi Allah anhu kehte hain ke Rasool Allah ﷺ ne aqabah ki subah ko farmaya, is waqt aap apni oontni par sawaar the: mere liye kankariyan chunn kar lao, chunancha main ne aap ke liye saat kankariyan chuni, woh kankariyan aisi thi jo dono ungliyo ke beech aa jayen, aap inhen apni hatheli mein hilaate thay aur farmate thay: inhi jaisi kankariyan maaro, phir aap ﷺ ne farmaya: *logo deen mein ghulu se bachcho kyun ke tum se pehle logon ko deen mein isi ghulu ne halaak kiya.*
🌺حضرت عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہما کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے جمرہ عقبہ کی صبح کو فرمایا، اس وقت آپ اپنی اونٹنی پر سوار تھے: میرے لیے کنکریاں چن کر لاؤ ، چنانچہ میں نے آپ کے لیے سات کنکریاں چنیں، وہ کنکریاں ایسی تھیں جو دونوں انگلیوں کے بیچ آ جائیں، آپ انہیں اپنی ہتھیلی میں ہلاتے تھے اور فرماتے تھے: انہیں جیسی کنکریاں مارو ، پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: *لوگو! دین میں غلو سے بچو کیونکہ تم سے پہلے لوگوں کو دین میں اسی غلو نے ہلاک کیا ۱؎۔*
🌺Abdullah bin Abbas (may Allah be pleased with them) said that on the morning of Jamarah al-Aqabah, while the Messenger of Allah ﷺ was riding his camel, he said, “Bring me some pebbles.” So I collected seven pebbles for him, which were small enough to fit between two fingers. He shook them in his palm and said, “Throw pebbles like these.” Then the Messenger of Allah ﷺ said: *"O people! Beware of exaggeration in religion, for those before you were destroyed due to exaggeration in religion."*
📜 *Wazahat:* Ghulu kisi kaam ko hadd se zeyada badha dene aur is mein zaroorat se zeyada sakhti karne ko ghulu kehte hain, maslan kankariyan maarne ka hukm hai to chhoti kankariyan kaafi hain, ab ghulu yeh hai ke badi badi kankariyan maare ya pathar phenke aur isko zeyada sawab ka kaam samjhe, deen ke har kaam mein ghulu karna mana hai aur yeh hemaqat ki Daleel hai, ye bhi ghulu hai ke maslan kisi ne mustahab ya sunnat ko tark kiya to usko bura kahe aur gaaliyan de, agar koi sunnat ko tark kare to sirf narmi se isko hadees suna dena kaafi hai, agar log farz ko tark karen to sakhti se isko hukm karna chahiye, lekin iss zamane mein yeh haal ho gaya hai ke farz tark karne walon ko koi bura nahi kehta hai, log namaz chhodne waale, sharabiyon aur sood khoron se dosti rakhte hain, lekin azaan mein koi angutha naa chume ya maulood mein qeyam naa kare to iske dushman ho jate hain, yeh bhi ek intehai darje ka ghulu hai, aur aisi hi baton ki wajah se musalman tabah ho gaye, aur jaisa ke aap ﷺ ne farmaya tha, waisa hi huwa.
Allah taala ne Quran mein farmaya _*keh dijiye ae ahle kitaab! apne deen mein na-haq ghulu aur zeyadti naa karo aur un logon ki nafsaani khawahishon ki perwi naa karo jo pehle se behek chuke hain aur bahuton ko behka bhi chuke hain aur seedhi raah se hatt gaye hain. [📖Quran 5:77].*_
📚 _*Sunan ibne majah: jild-4, Kitab al manasik 47, hadith no. 3029*_
*Grade Sahih*
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
https://whatsapp.com/channel/0029Va49w043QxRuVlTnt42a
📷 *INSTAGRAM* https://instagram.com/_aaj_ki_hadees
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
❤️
👍
✅
✨
😂
🙏
🤍
44