Salaf Academy
February 10, 2025 at 09:48 AM
📌 (Qalbi) (Dil ki) Ibadat ke Teen Arkaan hain..! 1. Mohabbat 2. Raja (Umeed) 3. Khauf (darr) Har ibadat mein in teenon arkaan ka paya jana zaroori aur laazmi hai. Inhi ke zariye Allāh Ta’ala ka taqarrub hasil kiya ja sakta hai. Misal ke taur par: Aap namaz padhte hain is liye ke aap Allāh Ta’ala se mohabbat karte hain, usse ajr ki umeed rakhte hain, aur uske azaab se darte hain. Isi tarah aap roza rakhte hain kyunki aap Allāh se mohabbat karte hain, usse ajar ki umeed rakhte hain, aur uske azaab se darte hain. Har ibadat ka yehi mo'aamila hai. Inhi teenon arkaan ko "Fatiha-tul-Kitab" yani Surah Al-Fatiha mein jama kar diya gaya hai: 📍1. Allah Ta’ala ka farman: ({الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ} [Al-Fatiha: 1] "Tamaam tareefen Allāh Ta’ala ke liye hain jo tamaam jahaanon ka Rabb hai." Ye ayat mohabbat par dalalat karti hai. 📍2. Doosri ayat: {ٱلرَّحۡمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ } [Al-Fatiha: 2] "Bohat Meharban, Nihayat Raheem hai." Ye ayat raja (umeed) par dalalat karti hai. 📍3. Teesri ayat: {مَٰلِكِ يَوۡمِ ٱلدِّينِ} [Al-Fatiha: 3] "Qayamat ke din ka Malik hai." Ye aayat khauf par dalalat karti hai. ▪️Aur in teenon arkaan ko is ayat mein jama kar diya gaya hai: {إِيَّاكَ نَعۡبُدُ وَإِيَّاكَ نَسۡتَعِينُ} [Al-Fatiha: 4] "Hum sirf teri hi ibadat karte hain aur sirf tujh hi se madad maangte hain." 🎙️ (Fazeelat-ush-Sheikh Abdul Razzaq Al-Badr Hafizahullāh) 📍"Rukn" wo hai jiske baghair ibadat naaqis o naa tamam (incomplete ) hai, balki baatil hai. Isko na jaan bhoojh kar chhoda ja sakta hai, na bhool aur na hi jahalat (la ilmi) ki bina par." Aaj hum mein se aksar ko ye pata hi nahi ke ibadat ke ye teen arkaan hain! Is liye hamari har ibadat mein in teenon arkaan ka shamil hona zaroori hai! Har ek shakhs ko chahiye ke hum Allāh Ta’ala ki ibadat mohabbat, raja (umeed), aur khauf ki buniyad par karein. In teenon mein se agar ek bhi rukn chhoot jaye to wo shakhs aitidaal se bhatak jata hai aur uske gumrah hone mein koi shakk nahi..! Ham Allāh ta'ala se salamati ka sawal karte hain 📍Jo shakhs Allāh Ta’ala ki ibadat sirf mohabbat ki buniyad par karega wo "Zindeeq" (baddeen) hai, jo shakhs Allāh Ta’ala ki ibadat sirf raja (umeed) ki buniyad par karega wo "Murj'i" hai, aur jo shakhs Allāh Ta’ala ki ibadat sirf khauf ki buniyad par karega wo "Haroori" hai! Allāh Ta’ala hum sab ko tamaam ibadaat mohabbat, raja aur khauf ki buniyad par karne ki taufeeq ata farmaye.. Aameen Ya Rabbal Aalameen. 🖋️ Ayesha Amat-un-Noor bint Jameel-ud-Deen Romanised : Salaf Academy https://linktr.ee/salafacademy
❤️ 👍 💖 😢 😭 🤲 40

Comments