Islamic & Motivation
Islamic & Motivation
February 26, 2025 at 09:30 AM
Khushnaseebi ye nahi hai ki aapko har cheez mil jaye , khushnaseebi ye hai ki aapko jo mila hai aap usme khush rahein ♥️ Duniya me bohot se aese gareeb hain jinke paas duniya ki har daulat hai lekin unka dil khushiyo se khali hai , aur bohot se aese ameer hain jinke pas ziyada daulat to nahi hai lekin jo hai wo usme khush hain aur apne Allah ki raza se wo raazi hain♥️ *Qina'at* isi ka naam hai ki jo aapko Allah ne diya hai bas usme khush rahein han, mehnat karein aage badhein lekin apni niyamato ko kam na samjhein , Allah se gile shikwe na karein ki mujhe ye nahi diya wo diya balke Allah ka shukr ada karein ki aapne ye bhi diya wo diya. Agar kabhi nashukri aaye dil me to hospital ka ek bar chakkar laga aaye to aapko ek sukoon milega aur apka dil shukr se khil uthega ki Allah ne aapko hospital ka , dawao ka aur logo ka mohtaj nahi banaya. *Khush rahein , khushiyan batein!*
❤️ 👍 💯 ❤‍🩹 🌹 👏 💖 😂 😊 🙂‍↔ 110

Comments