Ek Qadam Imam E Zaman Ki Aur
Ek Qadam Imam E Zaman Ki Aur
March 1, 2025 at 08:17 AM
*Khutba e Shabaniyh* *PART 2️⃣* *Or Apni Zubano ki hifazat karo,* *Apni nazro ko un maqamaat se hata lo jin par nigah karna haram hai,* *apne kaan laga kar un chizo ko na suno jin ka sunna haram hai..* *Logo ke yatimo par maherbani karo ta ke tumhare yatimo par maherbani ki jae..* *Or Allah se Apne gunaho ki maafi mango Apne hatho ko uski janib apni namazo ke awqaat mai dua ke liye buland karo Kyu ke ye behtarin lamhaat hote hain jab Allah Apne bando ko rehmat ki nazar se dekhta hai..* *Jab bande usse munajat karte hain to wo unhe javab deta hai or jab wo use nida dete hain to labbaik kehta hai or jab wo usse sawal karte hain to unhe ata karta hai or jab wo dua karte hain to wo qabul karta hai* *Ay logo:- beshak tumhare nafs tumhare kartuto ki b doulat se kadve ho chuke hain pas istegfaar se unhe aazad kara lo* *Tumhari pusht gunaho ke bojh se bhari ho chuki hai pas tulani sujud (sajdo) ke zariye unhe halka kar lo* *Or jaan lo ke Allah ne apni izzat ki qasam kha kar kaha hai ke wo namaziyo par or Sajda karne walo par azaab Nahi karega or us din jab ke tamam log rabbil aalamin ke huzur khade honge unhe aatish e jahannum se Nahi daraega* *Ay logo tum Mai se Jo is mahine mai ek momin rozdaar ka roza iftaar karaye ga wo Allah ke nazdeek aisa hai ke goya usne gulam aazad karaya ho or uske liye maazi ke gunaho ki magferat hai* *Jaari hai* *Ek Qadam imam e Zaman ki Aur* https://whatsapp.com/channel/0029Va9rWC65K3zOd0EsD73P/1000
❤️ 💐 👍 🤲 25

Comments