We_r_Sunni
We_r_Sunni
February 19, 2025 at 11:18 AM
Aakhirat ki tayyari karein Ramadan sirf ek mahina nahi, balki puri zindagi ko behtar banane ka ek tareeqa hai. Jo aadatein is mahine mein ikhtiyar karein, unhein baqi zindagi ka hissa bana lein. 1. Ibadat mein izafa karein - Farz namazon ke saath tahajjud, tasbihat aur Quran ki tilawat ko apni aadat bana lein. 2. Duaon ka ahmiyat samjhein - Ramadan mein Allah ki rahmat, maghfirat aur dozakh se nijaat ki ratain mojood hoti hain, is liye duaon ka khoob ihtimam karein. 3. Sadaqah aur khairaat karein - Gareebon aur zarooratmandon ki madad karein, kyunki Ramadan mein nekion ka sawab bohot barh jata hai. 4. Apne ikhlaq sudharein - Gussa, jhoot, ghibat, aur behooda baton se bachein aur husn-e-akhlaq ka muzahira karein. 5. Laylatul Qadr ki talaash karein - Ye ek raat 1000 mahino se afzal hai, is mein ibadat ka khoob ihtimam karein.
❤️ 👍 😢 50

Comments