
Sabeel Group
February 28, 2025 at 07:35 AM
*✨ Aaj Jumma hai – Yaum-e-Imam e Zamana (A.J) ✨*
🌙 *Mah-e-Ramzan apni rehmaton aur barakaton ke saath aane wala hai wo mahina jo sirf bhookh aur pyaas ka nahi, balki rooh ki taraqqi 🕊️, maghfirat 🤲🏻 aur Allah ki mehmani 🍽️ ka hai.* Hum is mahine *Allah ke mehmaan* hain, aur jo maangenge, wo hume ata karega.
> 🕰️ *Har Jumma hume yaad dilata hai ke hamara Imam (A.J) muntazir hai* toh hum bhi uske intezar ka haqq ada karne waale banein!! *Kya ye behtareen waqt nahi hai ke hum is Ramzan apni sabse azeem talab ko apne Khuda ke saamne rakhein?* Har sajde 🤲🏻, har dua 💖, har ibadat 🕌 me *apne Imam (A.J) ke zahoor ki fariyaad karein.*
❗ *Magar sirf dua hi kaafi nahi—apne amal se bhi tayyari zaroori hai.* Is Ramzan hum apne roohani safar ka aise aghaz karein jo hume Imam (A.J) ke qareeb kare. *Har neki, har sajda, har ibadat uski taraf ek qadam ho.*🚶🏻♂️💫
`🤲🏻 Allahumma ajjil li waliyyikal faraj!`
❤️
🤲
👍
😭
♥️
💚
😓
🩵
🫶
73