Jamiat-ul-Hasanaat
Jamiat-ul-Hasanaat
February 2, 2025 at 01:00 PM
Hazrat Imam Hussain Razi Allahu Anhu ke 4 Khasoosiyat o Fazail ✦ ✦ Naam o Wiladat Hazrat Imam Hussain Razi Allahu Anhu ki wiladat 5 Shaban-ul-Muazzam 4 Hijri ko Madina Munawwara mein hui. Aap ka Ism-e-Girami "Hussain", kuniyat "Abu Abdullah", aur alqaab mein "Sibt-e-Rasool Allah" (yani Rasool Allah ke nawaase) aur "Rayhanat-ur-Rasool" (yani Rasool Allah ke phool) shamil hain. Aap ne 10 Muharram-ul-Haram 61 Hijri ko Maidan-e-Karbala mein jaam-e-shahadat nosh farmaya. ✦ Imam Hussain Razi Allahu Anhu ki 4 Khasoosiyat o Fazail 1️⃣ Bachpan hi mein Shahadat ki Khabar Imam Hussain Razi Allahu Anhu ke bachpan mein hi aap ki shahadat ki khabar de di gayi thi. Hazrat Jibreel Alaihis Salam ne Nabi Kareem ﷺ ko bata diya tha ke aap ki ummat aapke is bete ko shaheed kar degi, aur saath hi maqam-e-shahadat ki mitti bhi pesh ki. (📖 Al-Mu’jam Al-Kabeer, 108/3, Hadith: 2817) 2️⃣ Nabi Kareem ﷺ ki Khaas Mohabbat Ek martaba Nabi Kareem ﷺ ke ek zanoo par Imam Hussain aur doosre par aapke sahibzaade Hazrat Ibrahim Razi Allahu Anhu baithe the. Hazrat Jibreel Alaihis Salam ne farmaya ke in dono mein se ek ko Allah Paak utha lega, to ek ko ikhtiyar farma lijiye. Nabi Kareem ﷺ ne Imam Hussain ki judai gawara na ki, aur teen din baad Hazrat Ibrahim ka wisal ho gaya. Iske baad jab Imam Hussain ko dekhte to farmate: "Main is par qurban, jis par maine apna beta Ibrahim qurban kiya." (📖 Tareekh Baghdad, 200/2) 3️⃣ Noorani Peshani aur Rukhsaar Hazrat Imam Hussain Razi Allahu Anhu ki ek khaas nishani ye thi ke andhere mein baithe hote to aap ki peshani aur rukhsaar (gaal) se noor nikalta aur aapke qareeb o jawar roshan ho jate. (📖 Shawahid-un-Nubuwwah, Safha 228) 4️⃣ Rang o Jisamat mein Nabi Kareem ﷺ se Mushabahat Hazrat Ali Al-Murtaza Razi Allahu Anhu farmate hain: "Jo shakhs Nabi Kareem ﷺ se chehre se gardan tak mushabih dekhna chahe, wo Hazrat Hassan ko dekhe, aur jo gardan se takhno tak Nabi Kareem ﷺ se mushabih dekhna chahe, wo Hussain ko dekhe." 🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹💜🧡💚💜💚💚🧡🧡https://whatsapp.com/channel/0029Vaag9bQ7YSczQQKeTZ2z
❤️ 22

Comments