Jamiat-ul-Hasanaat
Jamiat-ul-Hasanaat
March 1, 2025 at 03:09 PM
Assalamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu Alhamdulillah! Rehmaton, barkaton aur maghfirat ka mahina hum par saya-fagan ho chuka hai. Ramadan Mubarak ho! Allah Ta'ala hum sab ko is babarkat mahine ki qadr karne, roze rakhne, qiyam karne aur dil ki gehraiyon se apni maghfirat talab karne ki taufiq ata farma. Ya Allah! Hamare gunahon ko maaf farma, dilon ko narmi aur taqwa ata kar, aur hume jahannam ki aag se nijaat de kar Jannat-ul-Firdous ka mustahiq bana de. Ye mahina apna ehtisaab karne, sabr aur taqwa ikhtiyar karne, aur nek aamaal mein sabqat le jane ka hai. Aayiye! Hum sab mil kar is Ramadan ko apni zindagi ka behtareen Ramadan banane ki koshish karein. اللهم بلغنا رمضان وبارك لنا فيه وتقبله منا بأحسن القبول (Ay Allah! Humein Ramadan naseeb farma, hamare liye isme barakat ata kar, aur ise humse behtareen tareeke se qabool farma) Ameen Ramadan Mubarak!
❤️ 8

Comments