
F3 News
February 5, 2025 at 06:08 PM
☝️👀😳 *Jaish-e-Mohammed aur Lashkar-e-Taiba ne Hamas se milaya haath, Pakistan mein ek saath dikhe teen sangathan*
🎥 *Click On The Link For Video & Details* 👇👇
https://www.instagram.com/reel/DFszYNnNBt7/?igsh=cHloa2cwb2F3eGly
☝️ *Pakistan ke do pramukh aatankwadi sangathan, Jaish-e-Mohammed aur Lashkar-e-Taiba, ne Gaza ke Hamas ke saath haath milaya hai. Iska saarvajanik saboot Pakistan Adhikarit Kashmir ke Rawalakot mein dekhne ko mila hai. Rawalakot mein aatankwadiyon ke 'Kashmir Ekjutata Diwas' karyakram ke dauraan Jaish ke bandukdharion ko Palestine ke Hamas netaon ki suraksha karte hue manch par dekha gaya. Khud Jaish ke ek aatankwadi ne manch se elan kiya ki Hamas aur Pakistani jihadi group ekjut ho gaye hain.*
🗣️ *Pakistani aatankwadi sangathanon ke is karyakram mein Bharat ke khilaf jamkar zahar ugal gaya. Aatankwadiyon ne Pradhan Mantri Narendra Modi aur Grih Mantri Amit Shah ke khilaf bhi amaryadit tippaniyan ki. Is karyakram ko sambodhit karte hue ek aatankwadi ne kaha ki Palestine ke mujahideen aur Kashmir ke mujahideen ek ho chuke hain. Usne Dilli mein khoon ki nadein bahane aur Kashmir ko Bharat se alag karne ki bhi dhamkiyan di. Itna hi nahi, usne Bharat ke tukde karne ki bhi geedadbhbhaki di.*
❗ *Hamas ki Pakistan se purani dosti hai. Hamas ke aatankwadiyon ko Pakistani sena training deti hai, khaaskar Hamas ke air aur naval wing ke aatankwadiyon ko Pakistan ke SSG commando ki training di jati hai. Iske baad ye aatankwadi Israel ke khilaf aatanki ghatnaon ko anjaam dete hain. Itna hi nahi, Hamas ko Pakistan se badi maatra mein funding bhi milti hai. Gaza par Israel ke hamlon ke baad Pakistan ke kai netaon ne Qatar mein Hamas ke shikhar netritva se mulakat bhi ki thi.*
*F3 News | Halla Bol*
*Fast, Fact & Fearless*
📲 *To Join F3 News WhatsApp Us On :*
https://chat.whatsapp.com/KO5SkOxiYlC7V4e7B8iezL