محمد جمال الدین خان قادِری
                                
                            
                            
                    
                                
                                
                                February 15, 2025 at 01:25 PM
                               
                            
                        
                            Muftī Aur Mujtahid Kise Kahte Hain?
📝 Mu'hammad Jamãluddîn 'Khãn
https://whatsapp.com/channel/0029Va4xNTcBlHpj2ZXcdA3J
*`Muftee:`* Woh Faqeeh Jo 'Hawãdis Wa Nawãzil Men Jawãb Detã Hai Aur Us Ke Liye Malakaye istimbaa't Hotã Hai. A'sl Men Muftee Mujtahid Hotã Hai. *Fee Zamãnah Naaqileen Hain* Jinhen Majaazan Muftee Kahã Jaatã Hai. ['Khazãyinut Ta'areefãt, Page³⁶⁰, Az Muftee Anas Razã Qãdiree]
*`Muftã Bih:`* Kisî Mas-alah Men Ayimmah Ke Mu'khtalif Aqwaal Men Se Woh Raaje'h Qaul Ki Jise Fuqahã Men Se Ahle Tarjee'h (Ne Kisî Ek Qaul Ko Tarjee'h) Dee Ho. ['Khazãyinut Ta'areefãt, Page³⁶¹]
*`Muftiye 'Haqeeqī:`* Us Mujtahid Ko Kahte Hain Jo Saayil Ke Suwaal Kã Jawaab Adillaye Arba-'ah (Chãr 'Hujjaten Yã Daleelen Jin Se Masãyil istimbaa't Kiye Jaate Hain, Woh Chãr U'sool Jin Par 'ilme Fiqh Kî Buniyãd Hai *Ya'anî* Kitaabullãh, Sunnate Rasool, ijmaa'ye Ummat Aur Qiyaas) Se A'khaz Karke De. [Ta'areefãt, Page¹²⁹, Az Muftee Manzoor 'Aalam Razavî Purnavî]
*`Muftiye 'Urfee:`* Us 'Aalime Bã 'Amal Ko Kahte Hain Jo (Daleele Taf'seelî Ko Jaane Bi'ghair Ma'hz Taqleed Ke 'Taur Par) Sãyileen Ko Apne imaam Kã Qaul Batã De Ya'anî Jo Baat 'Saa'hibe Mazhab Se Saabit Hai Masãyil Ke Jawãb Men Use Bayãn Kar De. [Ta'areefãt, Page¹²⁹]
*`Muftee Maajan:`* Woh Sha'kh's Jo Logon Ko 'Heele Sikhlãtã Ho. Woh Sha'kh's Jo Be 'ilmee Se Fatwã Detã Ho. ['Khazãyinut Ta'areefãt, Page³⁶⁰] - Be 'Hayã Qaazî, Woh Muftee Jo Logon Ko Baa'til Shara'yee 'Heele Sikhãye Maslan Kisî 'Aurat Ko irtidaad Kî Ta'aleem Karnã Ki Baayin Ho Jaaye Apne Shauhar Se Yã Us Se Zakaat Saaqi't Ho Jaaye Aur Phir Musalmãn Ho Jaaye. [Re'khtah Urdu Dictionary]
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
*`Mujtahideen:`* Woh 'Hazraat Hain Jo Qur-aan Wa 'Hadees Ke Tamãm Ma'anã Wa Rumooz Ke 'Aalim Hon Aur i'stilã'hãte Qur-aan Wa 'Hadees Se Waaqif Hain Aur Masãyile Juzyiyyah Ko Qur-aan Wa 'Hadees Kî Raushnî Men isti'khraaj Karne Kã Malakah Rakhte Hon. [Ta'areefãt, Page¹¹⁷,¹¹⁸]
*`Mujtahad Feeh:`* Woh Mas-alah Jo Aysī Daleel Par Mabnee Ho Ki Jo Shar-'an Mo'atabar Ho Lekin Na's Yã ijmaa'a Na Hone Kī Wajah Se Kisī Mujtahid Kã Us Men i'khtilaaf Karnã Rawã Ho. Woh Mas-alah Jis Men Na's Na Hone Kî Wajah Se Ayimmah Kã i'khtilaaf Ho Aur Us Par ijmaa'a Mun-'aqid Na Ho. ['Khazãyinut Ta'areefãt, Page³²⁶]
*`Mujtahideene Fish-Shara'a:`* Woh 'Hazraat Hain Jo Apne Muqarrar Kardah Qawaa'yid Wa U'sool Par Adillaye Arba-'ah Ke Zaree'ye A'hkaam istimbaa't Karen Aur Woh U'sool Wa Furoo'a Men Kisî Ke Taabe'a Na Hon - Jaise Ayimmaye Arba-'ah, Sufyaan Sauree Wa'ghairahum. [Ta'areefãt, Page¹¹⁸]
*`Mujtahideene Fil Mazhab:`* Fuqahãye Kiraam Ke Us 'Tabqah Ko Kahte Hain Jo Apne imaam Ke Muqarrar Kardah Qawã'yid Wa Zawãbi't Par Masãyil Kã istimbaa't Karen Aur U'sool Wa Qawã'yid Men Apne imaam Ke Taabe'a Hon Aur Masãyile Far'yiyyah Men Apne ijtihaad Ke Sabab Ba'az Jagah Apne imaam Kî Mu'khãlifat Bhî Karte Hon Jaise A's'haabe Abee 'Haneefah Wa'ghairahum. Ya'anî imaam Aboo Yoosuf Wa imaam Mu'hammad Wa'ghairh. [Ta'areefãt, Page¹¹⁸]
*`Mujtahideene Fil Masãyil:`* Fuqahãye Kiraam Kã Woh 'Tabqah Hai Ki Jin Masãyil Men imaam Se Koyî Riwãyat Na Ho Un Men Apne imaam Ke U'sool Wa Zawãbi't Ke Mu'taabiq A'hkaam isti'khraaj Karen Aur U'sool Wa Furoo'a Donon Men Apne imaam Ke Muqallid Hon. Jaise imaam Aboo Ja'afar 'Ta'haavee Wa Abul 'Hasan Kar'khee Wa'ghairahum. [Ta'areefãt, Page¹¹⁸]
*`A's'haabur Raay:`* Woh Fuqahã Jo Masãyil Ke istimbaa't Men Qiyaas Aur Raay Se Kaam Len. [Feerozul Lu'ghaat Urdu, Page⁹⁸]
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
یہ تحریر `اردو Urdu उर्दू` مِیں ↶
https://whatsapp.com/channel/0029Va4xNTcBlHpj2ZXcdA3J/747
येह तह़रीर `हिंदी Hindi ہندی` में ↷
https://whatsapp.com/channel/0029Va4xNTcBlHpj2ZXcdA3J/746
                        
                    
                    
                    
                    
                    
                                    
                                        
                                            ❤️
                                        
                                    
                                        
                                            🌹
                                        
                                    
                                    
                                        3