Untold Repent
Untold Repent
January 31, 2025 at 05:10 PM
Salafi ulama logon ko ulama se door kar dete hain. ..................................... Ye ek shubha hai, bohot bara shubha, jise har koi na-pasand karega. Bhala kaun pasand karega ke koi logon ko ulama se door kare? Bilashuba koi nahi. Lekin ye Ahl-e-Bid‘at ka tareeqa raha hai ke woh shubha ko lafz mujmal ke tor par istemal karte hain. Woh ulama to bolte hain, lekin agar aap poochain ke kin ulama se door kar dete hain? Ibn Baz se? Nahi. Ibn Uthaymeen se? Nahi. Albani se? Nahi. Fawzan se? Nahi. Deegar Salafi ulama se? Nahi. Tab kin se? Qutb se, Hasan Banna se, Maududi se. To maaloom hua ke inke yahan "ulama" se murad yehi log hain sirf, baqi inke yahan sare se ulama hain hi nahi. Lekin inhon ne is tarah nahi kaha ke Salafi ulama logon ko inse door rehne ko kehte hain. Tab to log pooch lenge ke Salafi ulama aisa kyun karte hain? Phir inhein batana padega ke inhon ne ye ghalti ki hai aur Salafi ulama ne dalail se in par radd kiya hai. Lekin ye aisa nahi karenge kyunki log phir dalail ke peeche chalne lagenge. To inhon ne kya kiya? Lafz mujmal istemal kiya "ulama", lekin agar aap ulama ka matlab poochain ge to chand Ahl-e-Bid‘at ka naam lenge. Isi tarah ka shubha Nabi ﷺ ke khilaf phelate the mushrikeen. Jab haqq baat ka asar jadu ki tarah hota hai to mushrikeen ne ek shubha pesh kiya ke Muhammad jadu-gar hai, woh logon par jadu kar deta hai, rishtedaron se door kar deta hai. Iska natija ye hua ke Nabi ﷺ jab bhi dawat dete aur logon ko baat acchi lagti to woh shubha unhein yaad aa jata ke "Muhammad to jadu-gar hai, iski baat acchi lagegi hi." Baqaida woh kaan mein rooi daal lete the ke kahin Muhammad ﷺ ki baat ka asar na ho jaye jo ke jadu hai. To in Ahl-e-Batil ne Nabi ﷺ ki dawat ko "jadu" kaha kyunki jadu ki tarah asar karti thi. Lekin jadu to har koi na-pasand karta hai, lehaza ye shubha inke liye rukawat ban jata tha. Agar yehi mushrikeen logon ko kehte "woh aisi baatein batate hain jinka inkaar nahi kiya ja sakta" to log aur qareeb hote aur Islam qabool karte. Lekin woh aisa kyun karte? Inhein to kisi tarah logon ko Muhammad ﷺ se door rakhna tha. Ahl-e-Batil ka hamesha ye tareeqa raha hai ke woh saamne aakar muqabla nahi kar sakte to shubhaat phelate hain. Allah sabhi ko shubhaat se mehfooz rakhe aur raah-e-haq par chalaaye. Ameen Ya Rabb al-‘Aalameen.

Comments