Abde Mustafa Organisation
February 7, 2025 at 09:28 AM
Humare paas kitabo ko le kar itni farmaishein aati hain ke agar hum maujooda wasail (resources) ke hisab se dekhein to 100 saal tak bhi saari farmaishein poori nahin kar sakte, Isse andaza bhi lagaya jaa sakta hai ke kitna kaam baaqi hai jise karna zaroori hai
English language mein to 1% bhi kaam nahin hua hai!
Hum kitabo par jitna kaam karna chahte hain wo bina support ke possible nahin aur humari qaum ka zehan aisa ban chuka hai ke wo kitabo ke naam par maal kharch nahin karna chahti siwaye gine chune logon ke, yahi wajah hai ke bade naam waale publishers bhi ab taqreeban kaam band kar chuke hain
🌹
1