Abde Mustafa Organisation
Abde Mustafa Organisation
February 9, 2025 at 08:43 AM
Mukashafatul Quloob mein hai ke: Ibnul Mubarak radiallaho anho apne paas aane waale saare gifts 'Ulama' ko diya karte, jab unse kaha gaya ke aap apni khairaat aur sadaqaat ko sab ke liye aam kar dete to behtar hota, unhone kaha ke "Main Nubuwwat ke martabe ke baad ab ulama ke martabe se afzal kisi ko nahin paata, agar Ulama apni zaroorato ki taraf tawajjo kar lenge to ilmi kaamo par farq pad jayega, phir wo ilme deen par khaas tawajjo nahin de payenge lihaza husoole ilm ki raaho ko aasan karna sab se afzal wa aala hai" (Mafhoom) Awaame Ahle Sunnat ko chahiye ke Ulama ko jahan tak ho sake aage badh kar support karein taaki wo apna kaam kar sakein
❤️ 5

Comments