Abde Mustafa Organisation
Abde Mustafa Organisation
February 10, 2025 at 06:17 PM
Tarikhe Futoohate Faaras ki soft copy? Kuchh logon ne messages kiye ke 'Tarikhe Futoohate Faaras' ki soft copy kyun publish nahin ki gai? Isi tarah chand aur kitabein jin ki tadaad 10 se bhi kam hai, humne soft copy (PDF waghaira) publish nahin ki jis ki ek wajah to ye hai ke kitab ke writer ya asal publisher ki taraf se humein soft copy ki ijazat nahin mili hai maslan Tarikhe Futoohate Faaras ke musannif ne sirf print ki ijazat di hai, Isi tarah Parda Kya Hai aur Zubda Taleemate Baahu ko dekhein to ye humari publishing nahin hai warna hum ne aaj tak 450+ kitabein free mein digitally publish ki hain, humein soft copy se kabhi koi mas'ala nahin raha balki ebooks ki wajah se kitabo ki marketing achhi tarah hoti hai Jo kitabein nahin aai, un ke pichhe reasons hain, warna hum yahi chahte hain ke soft copies internet par zyada se zyada platforms par ho'n, hum bahut limited resources ke saath kaam kar rahe hain aur poori koshish kar rahe hain ke Ahle Sunnat ka literature har taraf aam ho Ebooks par humara kaam dhaka chhupa nahin, iski wajah se humein dhamkiyan tak mili, aur aaj bhi hasideen apne marz mein mubtala ajeebo ghareeb baatein karte phirte hain Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadiri
👍 🙏 4

Comments