Daily Quran/Hadees & Azkaar Quotes
Daily Quran/Hadees & Azkaar Quotes
February 4, 2025 at 01:57 AM
🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃 🌺‏‏‏‏ حَدَّثَنَاه أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ حَدَّثَنَا عُبَيْدُ اللَّهِ حَدَّثَنَا شَيْبَانُ عَنْ الْأَعْمَشِ عَنْ أَبِي صَالِحٍ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ عَنْ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ لَقَدْ رَأَيْتُ رَجُلًا يَتَقَلَّبُ فِي الْجَنَّةِ فِي شَجَرَةٍ قَطَعَهَا مِنْ ظَهْرِ الطَّرِيقِ كَانَتْ تُؤْذِي النَّاسَ. 🌺 रसूलुल्लाह ﷺ ने फरमाया: मैंने एक शख़्स को देखा कि वो ( इस अमल के बदले ) जन्नत में हर तरफ़ ( नेअमतों के मज़े ) लूट रहा था ( क्योंकि ) उसने रास्ते के दरमयान से एक ऐसे दरख़्त को काट दिया था जो लोगों को अज़ीयत (तकलीफ) देता था। 🌺 Rasoolullah ﷺ ne farmaya: main ne ek shakhs ko dekha ke woh ( is amal ke badle ) jannat mein har taraf ( nematon ke maze ) loot raha tha ( kyun ke ) usne raaste ke darmiyan se ek aise darakht ko kaat diya tha jo logon ko aziyat (takleef) deta tha. 🌺 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں نے ایک شخص کو دیکھا کہ وہ ( اس عمل کے بدلے ) جنت میں ہر طرف ( نعمتوں کے مزے ) لوٹ رہا تھا ( کیونکہ ) اس نے راستے کے درمیان سے ایک ایسے درخت کو کاٹ دیا تھا جو لوگوں کو اذیت دیتا تھا ۔ 🌺The Messenger of Allah ﷺ said: "I saw a man enjoying the pleasures of Paradise because he had cut down a tree from the middle of the road that was causing harm to people." 📜 *wazahat:~* 🔹Logon ko takleef aur nuqsan se bachana Allah Ta'ala ko bohot pasand hai aur awaam ko faida pahunchane wala mamooli amal bhi Jannat mein dakhle ka ba'ais ban sakta hai. 🔹Najayez tajawuzat ke zariye se rasta tang karna, ya band karna bohot bada gunah hai. Aam tor par shadi waghera ke mouqon par rasta band kar ke taqreeb ka aehtimam kiya jata hai. Yeh Allah ke ghazab ka ba'ais hai. 🔹Kooda kachra raste mein phenkna, ya wahan qaza-e-hajat karna bohot bada gunah hai. Saya-dar darakht ke neeche jahan log baithte hon aur raste mein peshab paikhana karne wale par laanat padti hai [📗Mishkat: 339]. 📚 _*Sahih Muslim: jild-6, Kitab ul bir wa as-silah wa al adab 45, hadith no. 6671/(INT.: 1914)*_ ●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~● https://whatsapp.com/channel/0029Va49w043QxRuVlTnt42a 📷 *INSTAGRAM* https://instagram.com/_aaj_ki_hadees 📲 *JOIN WHATSAPP* *7007669520* ●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Comments