Daily Quran/Hadees & Azkaar Quotes
February 15, 2025 at 07:09 PM
🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌺 حَدَّثَنَا شَيْبَانُ بْنُ فَرُّوخَ حَدَّثَنَا عَبْدُ الْوَارِثِ حَدَّثَنَا أَبُو التَّيَّاحِ حَدَّثَنِى أَنَسُ بْنُ مَالِكٍ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مِنْ أَشْرَاطِ السَّاعَةِ أَنْ يُرْفَعَ الْعِلْمُ وَيَثْبُتَ الْجَهْلُ وَيُشْرَبَ الْخَمْرُ وَيَظْهَرَ الزِّنَا
🌺रसूलुल्लाह ﷺ ने फरमाया: क़यामत की अलामात में से ये ( भी ) हैं कि इल्म उठ जाएगा, जेहालत आम हो जाएगी, शराब पी जाने लगेगी और ज़िना खुल कर होने लगेगा।
🌺 Rasoolullah ﷺ ne farmaya: qayamat ki alamat mein se yeh ( bhi ) hain ke ilm uth jayega, jehalat aam ho jayegi, sharaab pi jane lagegi aur zina khul kar hone lagega.
🌺 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: قیامت کی علامات میں سے یہ ( بھی ) ہیں کہ علم اٹھ جائے گا ، جہالت عام ہو جائے گی ، شراب پی جانے لگے گی اور زنا کھل کر ہونے لگے گا۔
🌺The Allah's Messenger ﷺ said: It is from the conditions of the Last Hour that knowledge would be taken away and ignorance would prevail (upon the world), the liquor would be drunk, and adultery would become rampant.
📜 *wazahat:* Nabi kareem ﷺ ne farmaya *Allah taala [ deen ] ka ilm bandon se chheen kar nahi uthata balke wo pokhta aalimon ko mout de kar uthata hai, yahan tak ke jab koi aalim baaqi naa rahega to log jahilon ko apna sardar bana lenge, unse masla poocha jayega to wo baghair (sahih daleel) ilm ke fatwa denge, khud bhi gumrah honge auro ko bhi gumraah karenge [📗Bukhari: 100].*
is tarah qayamat se pehle ilm utha liya jayega aap khud mushahida kar sakte hain aaj kal kis tarah log baghair ilm ke logon ko gumrah karne mein lage hue hain aur log bhi ankhe band kar ke andhi taqleed kiye jaa rahe hain zaroorat is baat ki hai ke khud quran wa hadees ka mutala kare ta ke gumraah hone se bach jaye, aaj hamari gumraahi ki barri wajah hi yeh hai ke hum ne Quran aur sahih hadeeso ko pas pusht daal diya hai lehaza zillat aur ruswayi hamara muqaddar ban gayi hai.
📚 _*Sahih Muslim: jild 6, Kitab ul ilm 47, hadith no. 6785*_
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
https://whatsapp.com/channel/0029Va49w043QxRuVlTnt42a
📷 *INSTAGRAM* https://instagram.com/_aaj_ki_hadees
📲 *JOIN WHATSAPP* *7007669520*
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●