
Daily Quran/Hadees & Azkaar Quotes
February 21, 2025 at 02:11 AM
🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌺 حَدَّثَنَا عُمَرُ بْنُ حَفْصٍ، حَدَّثَنَا أَبِي، حَدَّثَنَا الْأَعْمَشُ، سَمِعْتُ أَبَا صَالِحٍ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، قَالَ: قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ اللَّهُ تَعَالَى: ""أَنَا عِنْدَ ظَنِّ عَبْدِي بِي، وَأَنَا مَعَهُ إِذَا ذَكَرَنِي، فَإِنْ ذَكَرَنِي فِي نَفْسِهِ ذَكَرْتُهُ فِي نَفْسِي، وَإِنْ ذَكَرَنِي فِي مَلَإٍ ذَكَرْتُهُ فِي مَلَإٍ خَيْرٍ مِنْهُمْ، وَإِنْ تَقَرَّبَ إِلَيَّ بِشِبْرٍ تَقَرَّبْتُ إِلَيْهِ ذِرَاعًا، وَإِنْ تَقَرَّبَ إِلَيَّ ذِرَاعًا تَقَرَّبْتُ إِلَيْهِ بَاعًا، وَإِنْ أَتَانِي يَمْشِي أَتَيْتُهُ هَرْوَلَةً"".
🌺नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: "अल्लाह ताला फ़रमाता है की मैं अपने बंदे के गुमान के साथ हूँ और जब वो मुझे अपने दिल में याद करता है तो में भी उसे अपने दिल में याद करता हूँ और जब वो मुझे मजलिस में याद करता है तो मैं उसे इस से बेहतर फ़रिश्तों की मजलिस में उसे याद करता हूँ और अगर वो मुझसे एक बालिशत क़रीब आता है तो में इस से एक हाथ क़रीब हो जाता हूँ और अगर वो मुझसे एक हाथ क़रीब आता है तो में इस से दो हाथ क़रीब हो जाता हूँ और अगर वो मेरी तरफ़ चल कर आता है तो में इस के पास दौड़ कर आ जाता हूँ।
🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: "Allah Ta'ala farmata hai ke main apne bande ke gumaan ke sath hun aur jab woh mujhe apne dil mein yaad karta hai to main bhi usay apne dil mein yaad karta hun aur jab woh mujhe majlis mein yaad karta hai to main usay is se behtar firshton ki majlis mein usay yaad karta hun aur agar woh mujh se ek balisht qareeb aata hai to main is se ek haath qareeb ho jata hon aur agar woh mujh se ek haath qareeb aata hai to mein is se do haath qareeb ho jata hun aur agar woh meri taraf chal kar aata hai to main iske paas daud kar aa jata hun."
🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، ”اللہ تعالیٰ فرماتا ہے کہ میں اپنے بندے کے گمان کے ساتھ ہوں اور جب وہ مجھے اپنے دل میں یاد کرتا ہے تو میں بھی اسے اپنے دل میں یاد کرتا ہوں اور جب وہ مجھے مجلس میں یاد کرتا ہے تو میں اسے اس سے بہتر فرشتوں کی مجلس میں اسے یاد کرتا ہوں اور اگر وہ مجھ سے ایک بالشت قریب آتا ہے تو میں اس سے ایک ہاتھ قریب ہو جاتا ہوں اور اگر وہ مجھ سے ایک ہاتھ قریب آتا ہے تو میں اس سے دو ہاتھ قریب ہو جاتا ہوں اور اگر وہ میری طرف چل کر آتا ہے تو میں اس کے پاس دوڑ کر آ جاتا ہوں۔“
🌺The Prophet Muhammad ﷺ said: "Allah, the Almighty, says: I am as My servant thinks of Me. When he remembers Me in his heart, I remember him in My heart. When he mentions Me in a gathering, I mention him in a gathering better than that (among the angels). If he comes near to Me by a hand’s span, I come near to him by an arm’s length. If he comes near to Me by an arm’s length, I come near to him by two arm’s lengths. And if he comes to Me walking, I come to him running."
📜 *Wazahat:* Is hadees ka matlab ye hai ke agar banda Allah ke mutaliq ye guman rakhta hai ke Allah ta'ala uske gunah maaf kar dega to uske guman ke mutabiq bande ke tamam gunah maaf ho jayenge, aur agar Allah Ta'ala ke mutaliq iske bar'aks ye guman rakhta hai ke use saza hogi to Allah Ta'ala use saza deta hai. *Is mein yeh ishara hai ke khouf ki bajaye umeed ka pehlu ghalib rehna chahiye.*
[📗Fath-ul-Bari: 13/472]
Hadees se ye bhi maloom hota hai ke bande ke dil mein Allah ki rehmat ki umeed zeyada honi chahiye aur Parwardigar ke sath nek guman rakhna chahiye. Agar gunah bohot hain to bhi yeh khayal rakhna chahiye ke woh Ghafoor-ur-Raheem hai. Uski rehmat se mayoos na hona chahiye.
_*"Be shak Allah tamaam gunahon ko maaf kar deta hai. Beshak wahi (badi bakhshish badi Rehmat wala) Ghafur-ur-Raheem hai."*_ [📖 Surah Az-Zumar 39:53]
📚 _*Sahih Bukhari: jild 9, kitab At Tawheed 97, hadith no. 7405*_
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
https://whatsapp.com/channel/0029Va49w043QxRuVlTnt42a
📷 *INSTAGRAM* https://instagram.com/_aaj_ki_hadees
📲 *JOIN WHATSAPP* *7007669520*
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●