taqwa squad✍🏻✨🫀
taqwa squad✍🏻✨🫀
February 16, 2025 at 05:12 PM
• Ramadan 💐🤍 🌹Ye wo mubarak mahina hai jiska intezar momin aadmi saal bhar karta hai, kyu ki ye neki, barkat, bakhshish, inayat, ibadat, taqwa, sadqa o khairat, Is mah mein momin ke andar fikr-e-aakhirat ke zariye Rab se mulaqat ki khwahish bedar hoti hai. SubhanAllah! Ye Rab ki taraf se ispr iman lane walon ke liye azeem tohfa hai. Ab hamara yeh farz banta hai ke iska kaise isteqbal karein aur is mahine ke faiz-o-barkat se apne daaman ko nekiyon se bhar lein? • Apne zehan mein zara tasavvur paida karein ke jab aapke ghar kisi aala mehman ki aamad hoti hai to aap kya karte hain? Aapka jawab hoga: hum bohot saari tayariyan karte hain, ghar aangan ko khoob sajate hain, khud bhi unke liye zeenat ikhtiyar karte hain, pure ghar mein khushi ka mahaul hota hai, Mehmaan ki khatir anginat pur-takalluf samaan tayyar kiye jate hain. Jab ek mehmaan ke liye is qadar tayari ho, to mehmaanon mein sabse aala aur Rab ki taraf se bheja hua mehmaan ho to uski tayari kis qadar purzor honi chahiye?
❤️ 💖 2

Comments