taqwa squad✍🏻✨🫀
taqwa squad✍🏻✨🫀
February 19, 2025 at 07:09 PM
Da'wat-e-Nazar - Aik Zaruri Islah Aaj kal hamare muashre mein yeh aam hota ja raha hai ke hamari behan betiyan hijab aur naqab ke sath bazaron aur digar maqamat par nazar aati hain, magar un naqabon par mukhtalif jumle aur alfaaz darj hote hain, jaise MashaAllah, Shehzadi waghera. Khaas taur par MashaAllah likha hua naqab bahut ziyada dekhne mein aata hai. Is mamle par gaur karen to ek sawal paida hota hai: Kya yeh tarz-e-amal sahih hai? Is ka jawab nihayat sada aur wazeh hai: Hargiz nahi. Naqab ka maqsad to yahi hai ke aurat apne aap ko ghair mehram nigahon se chhupaye, lekin jab naqab par numayan taur par aise alfaaz likhe jayen jo tawajjah kheenchnay ka bais hon, to yeh hijab ke asal maqsad ke khilaf hai. Yeh dekhne walon ko ghair iradi taur par mutawajjeh karne ka zariya ban jata hai, jo ke sharai parde ki rooh ke munafi hai. Hamen chahiye ke hum apni behnon, betiyon, aur ehl-e-khana ko is baat ki naseehat karen ke naqab saadgi aur sharm-o-haya ka mazhar hona chahiye, na ke zeenat aur numaish ka zariya. Yaad rakhen, ilm haasil karna aham hai, lekin is se badh kar zaruri yeh hai ke hum apne ilm par amal karen aur dusron ko bhi neki ki taraf bulayen. Lehaza, aaj yeh tehreer padhne ke baad apne dil par hath rakh kar sochiye: Kya hum ne apni bahan, beti ya ghar ki khawateen ko is bare mein samjhaya hai? Agar nahi, to aaj hi is islahi paigham ko apnayen, aur apni behnon, betiyon ko talqeen karen ke woh sada, ba-waqar aur ghair numayishi naqab ka ehtemam karen. Allah hum sab ko sahih samajh aur amal ki taufeeq ata farmaye. Aameen.
❤️ 1

Comments