Yaaden Madina♥️♥️
Yaaden Madina♥️♥️
June 8, 2025 at 03:41 PM
Kya Qurbani ke bajaye Ghareeb ki Madad Karna Behtar Hai? 🛑 Kuch log kehte hain: “Qurbani fazool hai, is paisay se kisi gareeb ki madad kar lo.” 🔍 Jawab: Agar yeh baat sahi hoti, to log IPL, world cup, parties aur shopping ke paisay bhi gareebon ko de dete. Lekin nahi — ye a’tiraz sirf Islam aur Qurbani par kyuⁿ? 📖 Qur’an me Allah عزوجل farmata hai: “Na Allah tak gosht pahunchta hai, na khoon, balki us tak tumhara taqwa pahunchta hai.” (Surah Hajj: 37) 🐐 Qurbani sirf gosht ka kaam nahi, imtihaan hai taqwa ka. 💡 Qurbani se: • Gareebon ko gosht milta hai • Kasai, transport, chara wale, mandi wale — sab ko rozgar milta hai • Leather industry tak faida hota hai • country ki economy ko boost milta hai ⚖️ Islam ne sirf Qurbani nahi, Zakat, Fitrah, Sadqah bhi wajib kiya hai. Lekin Qurbani ki sunnat se rokna, kisi hidden agenda ka hissa hai. 📌 Nateeja: Qurbani aur Ghareeb ki Madad — dono zaroori hain. Ek doosre ke muqabil nahi, muqammal (complementary) hain. Qurbani chhorke madad ka mashwara — Na aqal mein aata hai, na deen mein
❤️ 👍 💯 😊 👌 💚 36

Comments