
Mere Jazbaat ,,,✍️ Gouri
June 10, 2025 at 02:45 AM
*Niyyat (intention) 🤲✨*
🌿 _Aapka irada... aapki ibaadat ban sakta hai._
_Niyyat itni azeem hoti hai ke ek chhoti si harqat bhi us se ibadat ban jaati hai._ ✨
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
✨ *“Innamal a‘maalu bin-niyyaat.”*
✨ _“Amal sirf niyyat se hi maane jaate hain.”_
(Sahih al-Bukhari – Hadith 1)
🌸 *Jab aap maa baap ki madad karen toh niyyat karen:* _Allah ki khushi ke liye._
🧹 *Jab aap apna room saaf karen toh niyyat karen:* _tamaam susti se nijaat aur nizaafat sunnat hai._
📚 *Jab aap padhayi karen toh niyyat karen:* _taaleem se Allah ko raazi karne ke liye._
🍽️ *Jab aap khana banayen toh niyyat karen:* _ghar walon ko khush karna Allah ki raza mein shaamil hai._
💫 Har kaam mein nek niyyat daal den, duniya bhi sawar jaayegi, aakhirat bhi...✍️ Gouri 💯
👍
❤️
4