فہمِ دین
فہمِ دین
June 13, 2025 at 11:16 PM
_*Subah wo Shaam ki Ek jame' Masnoon Dua': ALLAH TA'ALA sey 'Aafiyat Aur Mukammal Hifazat ka Sawaal*_ _Hazrat 'Abdullah Bin 'Umar Raziyallahu 'Anhuma Farmatey Hain ke Rasool ALLAH ﷺ Subah Aur Shaam ke Waqt in Duaiyan kalimaat ko Padhna Kabhi Nahin Chodhtey They._ _*Mukammal Dua'*_ *"اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ، اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي دِينِي وَدُنْيَايَ وَأَهْلِي وَمَالِي، اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَاتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي، اللَّهُمَّ احْفَظْنِي مِنْ بَيْنِ يَدَيَّ، وَمِنْ خَلْفِي، وَعَنْ يَمِينِي، وَعَنْ شِمَالِي، وَمِنْ فَوْقِي، وَأَعُوذُ بِعَظَمَتِكَ أَنْ أُغْتَالَ مِنْ تَحْتِي۔"* _*is Dua' Mein ALLAH TA'ALA sey Darj-e-Zail Chizaun ka Sawaal kiya Gaya Hai:*_ _❖ Dunya wo Aakhirat ki Salamati:_ اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ _*Tarjuma: "AYE ALLAH! My Tujh sey Dunya Aur Aakhirath Mein Aafiyat (Yaney Har Qism ki Takleef, Bimaari Aur Aazmaish sey Salamati) Maangta Hoon."*_ _❖ Deen, Dunya, Ahel wo Ayaal Aur Maal ki Hifazat:_ اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي دِينِي وَدُنْيَايَ وَأَهْلِي وَمَالِي، _*Tarjuma: "AYE ALLAH! My Tujh sey Mua'afi Aur Aafiyat ka Sawaal karta Hoon; Apney Deen Mein Aur Apney Dunya Mein, Apney Ghar Walon Mein Aur Apney Maal Mein".*_ _❖ 'Aibaun Per Parda Aur Khauf Sey Aman:_ اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَاتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي، _*Tarjuma: "AYE ALLAH! Merey 'Aibaun Per Parda Daal Dey Aur Mujhey Har Qism ke Khauf Aur Ghabrahat sey Aman A'ta Farma".*_ _❖ Har Taraf sey Hifazat:_ اللَّهُمَّ احْفَظْنِي مِنْ بَيْنِ يَدَيَّ، وَمِنْ خَلْفِي، وَعَنْ يَمِينِي، وَعَنْ شِمَالِي، وَمِنْ فَوْقِي، _*Tarjuma: "AYE ALLAH! Meri Hifazat Farma; Merey Aagey sey, Merey Peechey sey, Merey Daaein sey, Merey Baaein sey, Aur Merey Uper sey".*_ _❖ Nagahaani Aafat sey Panah:_ وَأَعُوذُ بِعَظَمَتِكَ أَنْ أُغْتَالَ مِنْ تَحْتِي۔" _*Tarjuma: "Aur My Teri Azmat ki Panah Leta Hoon is Baat sey ke My Apney Neechey ki jaanib sey Achanak Halaak kar Diya jaon". (Yaney Zameen Mein Dhansa Diye Jaaney Ya kisi Bhi Nichli Simat sey Aaney Wali Aafat sey Mehfooz Rahon).*_ _*Hawala:*_ سنن ابی داود، حدیث: 5074 (علامہ البانی رحمہ اللہ نے اسے صحیح قرار دیا ہے)۔

Comments