Auqaat-e-Namaz (Hyderabad)
Auqaat-e-Namaz (Hyderabad)
May 29, 2025 at 11:58 AM
_Assalamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuh_ _Aaj se hum jin qeemati tareen das dino mein daakhil huay hain, yeh woh mubarak din hain jin ki qasam Allah Ta’ala ne Qur’an Majeed mein khai hai aur farmaya:_ ‎“وَالفَجْرِ وَلَيَالٍ عَشْرٍ” _“Wal-Fajr, Wa Layaalin ‘Ashr”_ _Yeh woh din hain jin mein ki gayi neki ka ajar Ramzan ke dino mein ki gayi nekion se bhi zyada hai._ _Apne liye target tay kar lijiye ke in dino ko kaise ibadat mein guzarna hai._ _Apna time table bana lijiye taake zehni tor par tayari ho sake._ _Allah Ta’ala humein in dino ka nekion se bharpur istemal naseeb kare. Aameen._ _In dino mein har ek din ek nayi niyyat, ek nayi ibadat ka irada banaiye. Apne aap ko is soch se tayar kijiye ke yeh shayad zindagi ke aakhri Ashra-e-Zilhijjah hon. Jo kuch karna hai, abhi kar lijiye. Har din, har raat qeemati hai._ _Allah humein in lamhaat ko ghanimat jaanne ki taufeeq de. Aameen._
❤️ 👍 🤲 😮 👏 🩷 57

Comments