Auqaat-e-Namaz (Hyderabad)
Auqaat-e-Namaz (Hyderabad)
June 8, 2025 at 01:42 AM
_*Ae Parwardigaar!*_ _Humein bhi un logon mein shamil farma le jinhein Tu apni taraf se *hidayat* ata farmaata hai, aur jo Tere bataye hue *Sirat-e-Mustaqeem* par mazbooti se chalte hain._ _Un logon mein shamil farma, jo *sachche dil* se *tauba* karte hain, aur jinki tauba ko Tu apni *Rehmat* se qubool farmaata hai._ _Un logon mein shamil farma, jo *dil, zaban aur amal* se Tera *shukar* ada karte hain, aur jin par Tu apna *khaas karam* aur *fazl* nazil farmaata hai._ _*Ya Allah!* Humein bhi inhi *muntaqab bandon* mein shamil kar le, aur hamare dilon ko *hidayat, shukar*, aur *tauba* par *qaayim* rakh._ _*Aameen Ya Rabbal ’Aalameen, summa Aameen!*_
❤️ 🤲 👍 🙏 ♥️ 💯 😌 72

Comments