SDPI Karnataka
SDPI Karnataka
June 16, 2025 at 07:02 PM
Press Release Gol Meiz Conference Mardam Shumari aur Caste Survey se mutaliq uljhanon ke azaale ke liye SDPI ki pehl Bengaluru, 16.6.2025 Karnataka mein samaji insaaf ke liye jaari jad-o-jehad ke is ahem marhale mein, riyasat aur qaumi satah par man'aqid hone wali mardam shumari Census aur is ke sath hone wale samaji, ma'ashi aur ta'leemi surveys se mutaliq paayi jaane wali uljhanon aur sanjeeda mubahison ke pur-aman hal aur is naazuk maslay par ek ijtimai ittifaq-e-raaye qaim karne ke maqsad se, aaj Bengaluru mein Social Democratic Party of India (SDPI) ki jaanib se ek kamiyab *Gol Meiz Conference* ka in'aqad kiya gaya. Is ijlaas mein riyasat ke numaya samaji, siyasi aur mazhabi rehnumaon ne shirkat ki, apni apni raaye pesh ki, aur aanewale aamaal se mutaliq qeemati mashware diye. Yeh nishist socialism aur Bharti aaeen ke usoolon ki buniyad par shoshit aur pasmanda tabaqat ke huqooq, taraqqi aur numaindagi ko yaqini banane ke liye awaami bedaari muhim ko aage badhane ke tor par dekhi gayi. Faisla kiya gaya ke is silsile mein ek bade paimane par ijlaas man'aqid kiya jayega jismein tamam tanzeemen, siyasi aur mazhabi qiyadat bharpoor shirkat karegi. Isi tarah is maslay par mufassal mutaala ke liye maharreen par mushtamil ek khaas committee tashkeel dene par bhi ittifaq-e-raaye hua. Is ijlaas se khitaab karte hue SDPI Karnataka riyasati saddar Janab Abdul Majeed sahab ne zor de kar kaha: "Muslim baradari ko is mardam shumari aur survey mein nihayat wazeh aur sargaram tareeqe se hissa lena chahiye. Zaat darj karte waqt kisi bhi qisam ki uljhan ya tazabzub se bachana mazhabi, samaji aur siyasi rehnumaon ki ahem zimmedaari hai." Program ki nizaamat Amjad Khan ne ki, istiqbaaliya khitaab Abrar Ahmad ne diya, jabke shukriya ki rasam Afsar Kodlipete ne ada ki. Is ijlaas mein Abdul Hannan, Syed Shafiullah, Advocate M.K Metri Maulana Ikram, Maulana Shakeel, Riyaz Kadambo, Dada Peer, Dada Khwalandar, Qasim Sahab samait kai ahem aur mo'tabar madoobeen ne shirkat ki. Ijlaas ke douran is baat par zor diya gaya ke is noiyat ke mazeed mukalme aur meetings munaqid kiye jaayein taake poori tarah se behas-o-mubahisa kiya ja sake aur awaami bedaari ko mo'asar andaaz mein aage badhaya ja sake. #sdpikarnataka #nationalcastecensus #roundtabledialogue
Image from SDPI Karnataka: Press Release  Gol Meiz Conference  Mardam Shumari aur Caste Survey se...
❤️ 👍 6

Comments