
RAH-E-NAJAT NETWORK
June 17, 2025 at 07:09 AM
*JANNAT KE PHAL, JANNAT KA KHANA*
Rasule Khuda (saww):
*Jannat ke phal (fruits) na maqtu' (katte huwe) honge aur na mamnu' (haraam) honge, yaani jis tarah dunyavi phalo'n ka ek mausam hota hai jiske baad wo dastyaab nahi ho sakte, is tarah Jannat ke phal kisi khaas mausam ke paaband na honge, balke jab bhi Jannati chahega, usay apni pasand ka phal dastyaab hoga (mil jayega). Aur jis tarah dunya ke baaz (kuchh) phal mehengayi ki wajah se baaz logo'n ki dastras se baahar ho jaaye hain, Jannat ke phalo'n mein ye baat na hogi..har Jannati har qism ka phal har zamane mein apni marzi ke mutabiq haasil kar sakega.*
(Tafeer e Anwaar ul Najaf, v13, p200)
Imam Sadiq (as):
*Momin Jannat ke dastar-khwaan par ayyam e dunya ke miqdaar ke barabar baithhega aur ek baar ke khaane mein wo khaayega jitna ke usne poori zindagi mein khaya hoga.*
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p558)
Imam Baqir (as):
*Jannat ke nehro'n ki khudaayi nahi hogi, balke zameen ke upar reh-rawaa'n hongi. Barf se sufaid-tar, shahed se sheeri'n-tar, aur makkhan se narm-tar honge. Nehro'n ki tah (base / bottom) mushk khaalis aur uske zarraat yaqoot o marjaan honge, aur Jannati ki Jannat mein is qadar wus'at (vastness / vishaalta) hogi ke agar wo poore roo e zameen ke tamaam Jinn o Insano'n ko bhi apne yahaa'n daawat par bulana chaahe to sab ke khaane pine ke baad bhi uske yahaa'n kisi cheez ki kami mehsoos na hogi.*
(Tafeer e Anwaar ul Najaf, v13, p200)
*رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا إِنَّكَ أَنتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ*
*اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ*
*وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن*
#rahenajat_network
🪀 *Follow our official WhatsApp channel*
https://whatsapp.com/channel/0029VaftrgG8F2pNCCDXwT1N
📲 +91-8097362110