Salafi Sisters
Salafi Sisters
June 6, 2025 at 03:12 PM
🔖```Khawateen 'Eidgah Zaroor Jayen ``` *أُمِرْنَا أنْ نُخْرِجَ الحُيَّضَ يَومَ العِيدَيْنِ، وذَوَاتِ الخُدُورِ فَيَشْهَدْنَ جَمَاعَةَ المُسْلِمِينَ،* *ودَعْوَتَهُمْ، ويَعْتَزِلُ الحُيَّضُ عن مُصَلَّاهُنَّ.* *قالتِ امْرَأَةٌ: يا رَسولَ اللَّهِ، إحْدَانَا ليسَ لَهَا جِلْبَابٌ؟* *قالَ: لِتُلْبِسْهَا صَاحِبَتُهَا مِن جِلْبَابِهَا.* *الراوي: أم عطية نسيبة بنت كعب* > (متفق علیہ) *Umm Atiya Nusayba bint Ka'b رضی اللہ عنہا riwayat karti hain:* _"Humen hukm diya gaya ke hum haiz wali aurton ko bhi 'eidayn ke din nikalen, aur parde mein rehne wali ladkiyon ko bhi, taake woh musalman ki jam'at mein shareek hon aur un ki du'aa mein shamil hon, aur haiz wali aurten apne musalla se alag rahen."_ *Ek aurat ne 'arz kiya:* Aey Allah ke Rasool ﷺ!  Agar hum mein se kisi ke paas jilbab (odhne ka bada kapda) na ho?" To _Aap صلى الله عليه وسلم ne farmaya:_ *"Us ki saathi aurat usay apne jilbab mein se pehna de".* > (Saheeh Bukhari wa Muslim) 🔷 *Pyari Behno!* 'Eidgah jane ki ehmiyat par ghaur karein, Allah ke pyare Nabi ﷺ humein kya hukm de rahe hain!  Agar aap ke paas burqa nahi hai to kisi behan se aariyat le lein, aur Eidgah zaroor jaayein.  Allah ke Rasool ﷺ ki is qadar takeed ke baad, kya hum apne maslak, ya (نعوذ باللہ) fitna ka andesha keh kar khawateen ko is khair-e-azeem se baaz rakh sakte hain jo shari'at ne unhein ata ki hai?  🔹 ```Hadeeth-e-Rasool ﷺ ke aa jane ke baad kisi bhi musalman ke liye ye munaasib nahi hai ke woh apni aql lagaye, ya pooche ke is baare mein falan ka kya qaul hai!``` *ابْنُ عَبَّاسٍ:* *"يُوشِكُ أَنْ تَنْزِلَ عَلَيْكُمْ حِجَارَةٌ مِنْ السَّمَاءِ!* *أَقُولُ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ،* *وَتَقُولُونَ قَالَ أَبُو بَكْرٍ وَعُمَرُ؟!"* Ibn Abbas (رضی اللہ عنہ) ne farmaya: _"Qareeb hai ke tum par aasman se pathar barasne lage!_ _Main kehta hoon ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya,_ _aur tum kehte ho ke Abu Bakr aur Umar ne farmaya?!"_ ```Gar nahi hai``` ```justuju-e-haqq ka tujh mein zauq wa shauq Ummati kehla ke Paighambar ko tu ruswa na kar.``` ```Aaiye! Apne maslaki ta'assub ko balaaye taaq rakh kar Eidgah zaroor tashreef le aayein aur is bhooli bisri sunnat ko zinda karke doguna ajr hasil karein.``` 🔸 *Note:* Agar Eid ki namaz ka intezam kisi majboori ki bina par masjid mein kiya gaya ho, aur Eidgah mein na ho to haiza auratein masjid na jaayein. ✍🏻 *Ustadhatuna Dr. Khalida Kazi Muhammadi حفظها الله* 🖇️https://shorturl.at/WFr6t 🖇️ https://t.me/kkews001

Comments