Jamiat-ul-Hasanaat
Jamiat-ul-Hasanaat
June 19, 2025 at 03:39 PM
🌸 Jummah aur Sadqah ki Fazilat 🌸 Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Jummah ka din tumhare dino mein sabse afzal hai... aur Jummah ke din ka sadqah dusre dino ke sadqah se zyada afzal hai." (Ibn Majah: 1087) Jummah ka din barakaton, rehmaton aur fazilaton wala din hai. Is din kiye gaye aamaal ka ajar kai guna barhaya jata hai. Khaas tor par sadqah, jo museebaton ko door karta hai, gunaahon ka kaffara banta hai, aur aakhirat ke darajat buland karta hai. 💖 Magar yaad rahe! Sadqah usi waqt zyada naf‘a bakhsh hota hai jab ise behtareen jagah diya jaye — aisi jagah jahan is maal se Allah ke deen ka kaam ho, ilm phelaaya jaye, aur neki ka chiragh jale. 📚 Aaiye! Apna sadqah aisi ba-barkat jagah dijiye… Jahan aapke diye hue ek rupaye se ilm-e-deen ka noor phelaaya jaye, bachiyon ko dini taleem di jaye, aur aakhirat ki tayari ka samaan kiya jaye — yaani "Jamia-tul-Hasanaat" mein. ✨ Jamia-tul-Hasanaat ek deeni idara hai, jahan khaalis Allah ke liye bachiyon ko ilm-e-deen sikhaya jata hai, aur yeh sara kaam aapke ta‘awun se chalta hai. Aapka sadqah sirf paisa nahi, balki deen ki khidmat ka ek zariya hai. 🌷 Aaiye! Is Jummah, behtareen sadqah kijiye… Aur apna hissa Jamia-tul-Hasanaat mein dijiye taake yeh paisa sadqah-e-jaariyah ban kar aapke liye duniya aur aakhirat mein najat ka zariya ban jaye.
Image from Jamiat-ul-Hasanaat: 🌸 Jummah aur Sadqah ki Fazilat 🌸  Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Jummah ...
❤️ 11

Comments