
๐ฆ๐ฐ๐ผ๐ฝ๐ฒ๐ซ | แดแด
แด/แดแดส๊ฑ แดแดฉแด
แดแดแด๊ฑ |
June 17, 2025 at 04:14 AM
*TODAY'S TOPIC DOSTI*
*๐๐ผ๐๐๐ถ โ ๐๐ธ ๐๐ต๐ฎ๐ ๐ฅ๐ถ๐๐ต๐๐ฎ*
Dosti... naam hi kafi hai lekin har dosti *wafadar* nahi hoti.
Kabhi dosti khushi ka sabab banti hai...
Aur kabhi *dil tor dene wali yaadon* ka hisa bhi.
Kuch dosti *bila matlab hoti hai,* bas khuda ka diya hua rishta.
Aur kuch dosti *sirf zarurat tak mehdood.*
Lekin asal dosti wo hoti hai jo waqt, haalaat, faida-nuqsan sab se upar hoti hai.
Log kehte hain:
"Matlabi zamana hai, dosti bhi faide se hoti hai..."
Magar yaad raho โ
*Jis dosti mein sirf Allah ka khauf ho, wo kabhi nahi tootti.*
Chahe duniya kisi bhi mod par le aaye...
Waqt sachche doston ka imtihaan leta hai,
Aur Allah unko zaroor jodta hai jo dil se jure hote hain.
*Toh agar aap ke paas ek bhi aesa dost hai jo duaon mein yaad rakhta hai...*
*Toh samajh lo aap ameer ho.*
*Hadees-e-Nabwi (SWA):*
*โQiyamat ke din Allah farmayega: Kahan hain wo log jo meri khatir ek doosre se muhabbat karte thay? Aaj unhein main apne arsh ke saaye mein jagah doon ga, jab mere saaye ke siwa koi saaya na hoga.โ*
(Sahih Muslim 2566)
> Regards:
*Muhammad Muzammil Qazzak*
โค๏ธ
๐
13