Abde Mustafa Organisation
Abde Mustafa Organisation
June 19, 2025 at 04:33 PM
Kitabo par kaam kaise hoga? Ye haqeeqat dhaki chhupi nahin ke Ahle Sunnat mein ek arse se kitabo par kaam ko le kar bahut masail hain, Humare akabir buzurgo ne bhi apni tehreero mein is baat ki shikayat ki hai ke awaame ahle sunnat apna maal kitabo par kharch nahin karti jabki dusre ghair zaroori kaamo par badi raqam laga di jaati hai Aaj aap dekhein to kitabo par kaam karne waale sab se zyada ghareeb hain, kai nashireen (publishers) dum tod chuke hain aur jo bache hain wo bhi bas naam ke hain, kai maktabe band ho rahe hain kyunki na to awaam kitabo ke naam par chanda deti hai aur na kitabein khareedti hai, ab aakhir maal ki zaroorat kaise poori hogi? Kuchh gine chune log hain jo kitabo ki ahmiyat ko samajhte hain aur is mein jahan tak ho sake hissa bhi lete hain lekin kaam ko bade paimane par karne ke liye sirf ye kaafi nahin hain, in logon ka saath be faida nahin hai ke isi se kaam kam se kam jaari to hai lekin sawal apni jagah baaqi hai ke kitabo par kaam kaise hoga? Agar kisi ko lagta hai ke kitabo par kaam ki zaroorat nahin hai ya kaafi kaam ho chuka hai to wo ghalat fahmi ka shikaar hain, kitabein hi asal hain, mustaqbil isi mein hai, padha likha naujawan tabqa jalso se door hai, juloos se koi waasita nahin, wo kitabein padh rahe hain, hum jadeed taqazo ke mutabiq unhein kitabein faraham karne se qasir hain, badmazhabo ne is par bahut kaam kiya hai, hum bahut pichhe hain aur aage aa kar kaafi kaam karne ki zaroorat hai par humari awaam ki jaisi fikr hai, aise mein sawal apni jagah baaqi hai ke kitabo par kaam kaise hoga? Abde Mustafa
❤️ 👍 😢 👌 💔 15

Comments