
✒️ FIKR E RAZA فکر رضا 💻
June 8, 2025 at 12:15 PM
Hazrat Abul Muzaffar Muhiy-ud-deen Muhammad Aurangzeb Aalamgeer rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Shehanshaah-e-Sultanat-ul-Hindiya Wal Mughaliya, Baadshaah Ghaazi.
********************
Aap ki wilaadat 22 Shawwaal 1027 Hijri (14 October 1618 A.D.) ko Dahod (Gujarat) me hui.
Aap ke waalid ka naam Sultaan Shaah Jahaan bin Jahaangeer aur waalida ka naam Begum Mumtaaz Mahal hai.
********************
Aap ke waalid Shaah Jahaan Gujarat ke governor the.
Ramazaan 1035 Hijri (June 1626 A.D.) me Shaah Jahaan ki baghaawat nakaam hone ke baad Aap ko aur aap ke bhai Daara Shikoh ko Sultaan Jahaangeer aur Begum Noor Jahaan ke paas bator jamaanat Lahore me rakha gaya.
********************
19 Jamaadi uṡ ṡaani 1037 Hijri (26 February 1628 A.D.) ko jab Shaah Jahaan Sultaan bane to Aap ko Agra ke Qile me laaya gaya. Yaha Aap ki ta’aleem wa tarbiyat ki gai. Aap ne Arabi aur Faarsi ki ta’aleem haasil ki.
********************
Zil Qa’ada 1042 Hijri (28 May 1633 A.D.) ko Mughal lashkar ki chhaavni se ek haathi bhaag gaya. Log us se bachne ke liye bhaagne lage. Aap ne ek bhaala lekar us ka saamna kiya aur khud ko aur logo ko us haathi se bachaaya. Aap ki bahaaduri dekhkar Shaah Jahaan ne Aap ko ‘Bahaadur’ ka laqab ata kiya aur Aap ko sone se tola gaya aur 2,00,000 ke tohfe diye.
********************
Orchha ke Raaja Jhujhar Singh ne baghaawat ki to 24 Jamaadi uṡ ṡaani 1044 Hijri (15 December 1634 A.D.) ko Aap ko Mughal lashkar ke saath Bundelkhand bheja gaya. Rajab 1044 Hijri (1634 A.D.) me Mughal lashkar ne Orchha par ghera daala. Aap pichhe rehkar nigraani karte rahe aur afsaro se mashwara karte rahe. Aakhir me Mughal lashkar ko fateh mili aur Raaja Jhujhar Singh haar gaya.
1046 Hijri (1636 A.D.) me Aap ko Deccan ka governor banaaaya gaya. Aap ne Ahmednagar ke Murtaza Shaah Ṡaaliṡ ko harakar Nizaam Shaahi saltanat ko khatm kiya.
1047 Hijri (1637 A.D.) me Baglana ko fatah kiya.
1054 Hijri (1644 A.D.) me kuchh galat fehmi ki wajah se Shaah Jahaan ne Aap ko Deccan ke governor ke ohade se barkhaasht kar diya.
7 mahine baad 1055 Hijri (1645 A.D.) me Shaah Jahaan ne Gujarat ke governor banakar bheja.
1057 Hijri (1647 A.D.) me Balkh ke governor banakar bheja. Is ilaaqe me Uzbek aur Turk hamle karte the. 2 saal tak koshish karne ke baad bhi Mughal fauj in ke hamlo ko rokne me nakaam rahi.
1059 Hijri (1649 A.D.) me Multan aur Sindh ke governor banaye gaye. Aap ne is ilaaqe ko Kandahar ke Safavi ke qabze se chhudaane ke liye koshish ki, magar nakaam rahe. 1062 Hijri (1652 A.D.) me phir se koshish ki, magar nakaam rahe.
1063 Hijri (1653 A.D.) me Aap ko phir se Deccan ka governor banaaaya gaya.
********************
1067 Hijri (1657 A.D.) me Shaah Jahaan shadeed beemaar hua to bade shehzaade Daara Shikoh ne Shahjahanabad (Puraani Delhi) me us ka ilaaj shuru karaaya.
Is dauraan Shaah Jahaan ke intiqaal ki afwah phaili jis ke baad Shaah Shuja ne Bengal par apni hukoomat ka, Muraad Bakhsh ne Gujarat par apni hukoomat ka aur Aurangzeb ne Deccan par apni hukoomat ka elaan kar diya.
1068 Hijri (1658 A.D.) me jab Shaah Jahaan ki tabiyat kuchh theek hui to woh phir se Agra chale gaye. Is ke baad us ke shehzaado ke bich aapasi jung hui. Jis me aakhir kaar Aurangzeb ko fateh mili
Shaah Jahaan ko Agra ke qile me rakha gaya aur jaha shehzaadi Jahaan Aara ne us ka khayaal rakha. 1076 Hijri (1666 A.D.) me Shaah Jahaan ka inteqaal hua.
********************
1068 Hijri (1658 A.D.) me Aap Mughal saltanat ke chhathe suktaan bane.
1068 Hijri (1658 A.D.) me Aap ne Sidi Marjan ko harakar Bidar fateh kiya.
1073 Hijri (1663 A.D.) me Ladakh gaye to Deldan Namgyal ne Mughal hukoomat ko tasleem kar liya.
1074 Hijri (1664 A.D.) me Shaista Khan ko Bengal ka Subedaar banaaya. Us ne Firangi (Portuguese) aur Arakanese lootero ko is ilaaqe se door bhagaaya. 1076 Hijri (1666 A.D.) me Sanda Thudhamma ko harakar Arakanese se Chittagong fateh kiya.
1095 Hijri (1685 A.D.) me Shehzaade Muhammad Aazam Shaah 50,000 ke lashkar ke saath Bijapur bheja. Mughal lashkar ne Bijapur par ghera daala. (4 September 1686 A.D.) me Aap bhi Bijapur gaye. 8 din ki jung ke baad Sikandar Aadil Shaah ko harkar Bijapur fateh kiya.
1097 Hijri (1687 A.D.) me Abul Hasan Qutub Shaah ko harakar Golkonda ko fateh kiya.
Aap ne Maratha sardaar Shivaaji se jung ki aur us ke bete Sambhaji ko qatl kiya aur Sikh sardaar Guru Tegh Bahaadur ko qaid karke qatl kiya.
Is tarah Aap ne taqreeban pure Hindustan par Mughal Saltanat ko phailaaya.
Aap ne 49 saal tak hukoomat ki.
********************
Hazrat Khwaja Shaikh Muhammad Saif-ud-deen Naqshbandi Mujaddidi Sirhindi rahmatullāhi alaihi ke mureed the.
Hazrat Aap ko khato ke zariye ta’aleem ata farmaate the.
Aap hamesha saadgi pasand farmaate.
Khud Topiya banaakar aur Qur’an majeed ki naqal likhkar us se apna guzraan karte.
********************
Jab Aap ka muqaabala Abdul Azeez Khan Afgan se hua to Aap ne maidaane jung me Namaaze Khauf ke liye safe durust karne ka hukm diya. Abdul Azeez ne samjha ke Baadshaah jung ki koi nai hikmat tarteeb de rahe hain.
Lekin jab us ne Hazrat Aurangzeb ko apne sipaahiyo ke saath Rabbul aalameen ki baargaah me sar ba-sujood dekha to apne Sipaah saalaar se kaha ke ‘Jung mauqoof kar do. Main aise aadami ke khilaaf jung nahi kar sakta jo maidaane jung me bhi namaaz ko nahi bhule.’
********************
Aap ne apne saahabzaado ko naseehat ki ke “Ulama aur fuzala ki sohbat ikhtyaare karna aur jaahilo se parhez karna ye aqlmand ki nishaan hai.”
********************
Aap 12wi sadi ke Mujaddid-e-Islaam hain.
Aap ne Hindustan, Iraq aur Hijaaz ke 500 Fuqaha ko jama karke ‘Fataawa e Aalamgeeri’ kitaab (30 Jild) tayyaar karai, jo Hanafi fiq'h ki motabar kitaabo me se ek hai.
Aap ne mulk me Sharai qaanoon par amal karaana shuru kiya.
Zina, Ightisaab (Rape), Khamr (Sharaab-noshi aur nasha karna), Jua, Chori aur loot ke liye Sharai hudood jaari liye.
Naachna aur Gaana-bajaana aur dursri buri bid'ato aur rasmo ko band karaaya.
Jo musalmaan Ghair-muslim jaisa libaas pehante unhe bhi saza dena shuru kiya.
Aap ne sikko par Qur’an ki aayate chapwaana band karaaya taake be-adabi na ho, kyun ki sikke sab ke haatho aur paavo me aate hain.
Aap ne Banaras (Kashi Vishwanath Mandir), Mathura (Keshav Mandir), Somnath (Shiv Mandir), Sindh, Multan, Thatta, Khandela, Udaipur, Chittor aur Jodhpur me Hindu mandir aur paath-shaalao ko band karaaye.
Aur kai jagah par Christian missionaries ko milne waali saari imdaad band karaai.
Aap ne Baadshaahi Masjid (Lahore), Moti Masjid (Laal Qila, Delhi), Banaras, Srinagar (Kashmir) jaisi Masjide taamir ki.
Aur Hazrat Sayyed Abdul Raheem Shaah Bukhari ki dargaah aur Lalbagh Qila (Dhaka) ki taamir ki.
********************
Aap adl o insaaf ko pasand karte the.
Ek martaba Banaras ke ek Pandit ki Shakuntala naami ladki thi. Ek jaahil faasiq saalaar ne us pandit se kaha ke ‘7 din ke andar teri beti ko sajakar doli me mere mahel me bhej dena.’ Jab pandit ne apni beti ko ye baat batai to us ne kaha ke ‘Ek mahine ka waqt le lo. Shaayad koi raasta mil jaaye.’ Pandit ne jaakar Saalar se kaha ke ‘Main 7 din me ladki sajakar nahi bhej sakta. Mujhe ek mahine ka waqt chaahiye.’ Saalaar ne kaha ‘Theek hai. Ek mahine baad bhej dena.’
Jab Pandit ne ladki ko bataaya to us ne shaahi libaas pehna aur sawaari ko lekar Delhi ki taraf nikal gai. Kuchh dino baad wo Jum’aa ke roz Delhi pahunchi. Sultaan Aurangzeb ka maamool tha ke jab namaaze jum’aa ada karke masjid se baahar tashreef late to log apni fariyaad ek chitthi me likhkar masjid ki sidhiyo ke dono taraf khade rehte aur baadshaah ko wo chitthi dete. Baadshaah khud wo chitthi lete aur kuchh hi dino me faisla farmaate.
Shakuntala bhi mard ke libaas me apne chehre par naqaab daalkar ek chitthi me apni fariyaad likhkar us qataar me khadi ho gai. Jab us ki baari aai to Sultaan ne apne haath par kapda daalkar us ki chitthi li. Us ne kaha ‘Huzoor! Mere saath ye na-insaafi kyun? Sab logo ki chitthi aap ne sidhe tareeqe se li aur meri chitthi haatho par kapda rakhkar li.’ Aap ne farmaaya ke ‘Islaam me ghari mehram (ajnabi) aurto ko chhuna haraam hai.’
Is ke baad Aap ne Shakuntala ko apne mahel me aane ke liye farmaaya. Waha us ki fariyaad suni. Wo kuchh din tak waha thehri. Phir Aap ne use laut jaane ke liye kaha.
Jab wo apne ghar waapas aai to us ke baap ne puchha to us ne kaha ke ‘Baadshaah ne kaha hai ke Beti tu laut jaa, teri doli waqt par uthegi. Lekin main jitne waha rooki mujhe beti kehkar bulaaya hai. Mujhe ummeed hai ke wo hume zaroor madad karenge.’
Ek mahine ka waqt guzarne ke baad Shakuntala ki doli saj-dhaj kar saalaar ke mahel me pahunchi. Saalaar ne doli ko dekhkar khushi me faqeero ko paise lootaana shuru kiya. Ek kambal-posh faqeer ne kaha ‘Mujhe haath me paise de.’ Us ne jab haath me paise diye to us faqeer ne apne chehre se kambal hata diya. Saalaar ta’ajjub aur khuaf se kaanpne laga kyun ki wo faqeer Shehanshaah Aurangzeb khud the.
Aurangzeb ne farmaaya ke ‘Tera ek pandit ki ladki ki izzat par haath daalna muslim hukoomat par daagh laga sakta hai. Is liye tumhe is ki saza di jaayegi.’ Phir Aap ne 4 haathi mangwaaye aur us saalaar ke dono haatho aur pairo ko baandhkar phir haathi se baandhkar haathiyo ko alag alag simt daudaaya gaya aur saalaar ko chir diya gaya.
Phir Pandit ke ghar ke saamne ek chabootre par Aap ne 2 rak’at nafl namaaze shukr ada ki. Aur dua ki ke ‘Aye ALLĀH! Main tera shukr guzaar hu ke tune ek ghair-muslim ladki ki izzat bachaane ke liye aur insaaf karne ke liye mujhe chuna.’
Phir Aap ne us ladki se farmaaya ‘Beti! Ek piyaala paani laana.’ Jab wo ladki paani lekar aap to Aap ne farmaaya ke ‘Jis din Delhi me tum ne mujhe fariyaad sunaai thi us din se maine qasam khaai thi ke jab tak tere saath insaaf nahi hoga paani nahi piunga.’
Is Pandit ne Banaras ke dusre Hindu bhaaiyo ke saath milkar us chabootre par ek masjid taamir ki aur elaan karaaya ke Baadshaah Aurangzeb ke insaaf ki khushi me ye masjid hamari taraf se unhe bator tohfa di jaati hai.’ Baadshaah ke insaaf ka aur saalaar ki saza ka waqqya ek sone ki takhti par likha gaya, jo aaj bhi is masjid me maujood hai. Ye masjid ‘Dhaneda ki Masjid’ ke naam se mash'hoor hai.
********************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki 5 biwiya, 5 saahabzaade aur 6 saahabzaadiya hain.
(1) Dilras Banu Begum urfe Rabia-ud-Dauraani binte Shaah Nawaaz Khaan Safawi [Nikaah 1047 Hijri (1637 A.D.)] se
2 saahabzaade : Muhammad Aazam Shaah, Sultaan Muhammad Akbar.
3 saahabzaadiya : Zeb-un-Nisaa, Zinat-un-Nisaa, Zubdat-un-Nisaa.
(2) Begum Nawab Bai binte Raja Raju of Rajauri urfe Shaah Meer se
2 saahabzaade : Muhammad Sultaan, Muhammad Muazzam urfe Bahaadur Shaah.
1 saahabzaadi : Badr-un-Nisaa.
(3) Aurangabadi Mahal se
1 saahabzaadi : Mehr-un-Nisaa.
(4) Udaipuri Mahal binte Chandrasen Thakur se
1 saahabzaada : Muhammad Kam Bakhsh.
1 saahabzaadi : Deewaani Mahal .
(5) Zainabadi Mahal.
********************
Aap ka wisaal 28 Zil Qa’ada 1118 Hijri (3 March 1707 A.D.) ko Jum’aa ke roz Ahmednagar me hua.
Wisaal ke waqt Aap ke paas Qur’an majeed ki naqal ke 350 rupye aur Topi banaane ke 14 rupye 12 aane the. Aap ne wasiyat farmai ke ‘Us me se sirf 14 rupye 12 aane kharch karke meri qabr tayyaar ki jaaye.’
Aap ki wasiyat ke mutaabiq Muhammad Aazam Shaah aur Zinat-un-Nisaa Aap ke jism e aqdas ko Khuldabad laaye aur Hazrat Khwaja Sayyed Zain-ud-deen Daawūd Shirazi rahmatullāhi alaihi ke mazaar ke qareeb Aap ko dafn kiya gaya.
Aap ka mazaar Khuldabad (Maharashtra) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Muhiy-ud-deen Muhammad Aurangzeb Aalamgeer rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

❤️
2