✒️ FIKR E RAZA فکر رضا 💻
✒️ FIKR E RAZA فکر رضا 💻
June 17, 2025 at 05:45 PM
*Isaale Sawaab (Faateha Wa Niyaaz) Ke Baare Me'n Musalmaano'n Ka Aqeedah* https://whatsapp.com/channel/0029VasR33BKbYMFECl42k33 Isaale Sawaab Ke Baare Me'n Ahle Sunnat Wa Jamaa'at Ka Kya Aqeedah Hai Aur Isaale Sawaab Kise Kehte Hai'n Dono'n Baate'n Daleelo'n Ke Saath Bayaan Ki Jaaye'ngi, Lekin Sabse Pehle Ham Isaale Sawaab Ke Mafhoom Ko Samjhaane Ki Koshish Karte Hai'n Ke Aakhir Isaale Sawaab Kise Kehte Hai'n ? To Yaad Rakhe'n ! Isaale Sawaab Apne Kisi Nek Amal Ka Sawaab Kisi Doosre Musalmaan Ko Paho'nchaana "Isaale Sawaab" Kehlaata Hai. Ahle Sunnat Wa Jamaa'at Ka Iss Baare Me'n Aqeedah Yeh Hai Ke Yeh Aqeedah Na Zarooriyaat e Deen Se Hai Aur Na Zarooriyaat e Ahle Sunnat Se Hai Balke Yeh Aqeedah Zanniyaat Me'n Se Hai. Chunaanche Alahazrat Imaam e Ahle Sunnat Imaam Ahmad Raza Khaan Qaadri Barelvi Alaihir Rehma Fataawa Razviya Me'n Likhte Hai'n, Bil Jumla Qaul Faisal Jisse Ikhtelaaf Zaa'il Aur Taufeeq Haasil Ho Yeh Hai Ke Nafs Ta'ziyat Wa Du'aa Wa Isaale Sawaab Beshak Mehmood (Qaabil e Ta'reef) Wa Mandoob (Jaa'iz) Aur Waqt e Du'aa Haath Uthaana Bhi Jaa'iz Hai Aur Agar Koi Shakhs Auliya Mayyat Ke Makaan Par Jaakar Ta'ziyat Kar Aaye To Bhi Qat'an Rawa (Ya'ni Jaa'iz). (Fataawa Razviya Mutarjim, 9/400) Fataawa Razviya Me'n Ek Aur Maqaam Par Alahazrat Imaam Ahmad Raza Khaan Qaadri Barelvi Alaihir Rehma Farmaate Hai'n, Iss Baab Me'n Qaul Faisal Aur Ijma Kalaam Yeh Hai Ke Musalmaan Murdo'n Ko Sawaab Paho'nchaana Aur Ajar Hadiya Karna Ek Pasandeedah Aur Sharee'at Me'n Mandoob Amr Hai Jis Par Tamaam Ahle Sunnat Wa Jamaa'at Ka Ijma Hai, Iss Amal Ka Inkaar Wohi Karega Jo Bewakoof Jaahil Ya Gumraah Saahib Baatil Ho. (Fataawa Razviya Mutarjim, 9/570) Ma'loom Huwa Ke Isaale Sawaab Karna Ham Ahle Sunnat Wa Jamaa'at Ke Nazdeek Ek Jaa'iz Wa Mustahab Amal Hai Na Ke Farz Wa Waajib. Isaale Sawaab Ka Saboot Qur'aan Shareef Ki Roshni Me'n :- Koi Bhi Zindah Musalmaan Shakhs Kisi Bhi Faut Shudah Shakhs Ko Apne Kisi Bhi Nek Amal Ke Zariye Se Isaale Sawaab Kar Sakta Hai Khwaah Woh Khaana Khilaane Ki Soorat Me'n Ho Ya Paani Pilaane Ki Soorat Me'n, Yahaa'n Tak Ke Koi Apni Du'aa Se Bhi Isaale Sawaab Kar Sakta Hai, Chunaanche Allaah Paak Ne Hazrat Ibraaheem Alaihissalaam Ki Du'aa Ko Qur'aan e Majeed Me'n Yoo'n Irshaad Farmaaya Hai, Tarjuma - Aye Hamaare Rab ! Mujhe Bakhsh De Aur Mere Waalidain Ko (Bakhsh De) Aur Deegar Sab Momino'n Ko Bhi, Jis Din Hisaab Qaayem Hoga. (Sureh Ibraaheem, Aayat No.41) Iss Aayat e Mubaaraka Me'n Hazrat Ibraaheem Alaihissalaam Ne Apne Faut Shudah Waalidain Keliye Aur Deegar Ahle Imaan Keliye Du'aa e Magferat Ki Hai Jo Ke Isaale Sawaab Hi Ki Ek Qism Hai. Isi Tarah Qur'aan e Majeed Ke Ek Doosre Maqaam Par Allaah Paak Ne Ahle Imaan Ki Magferat Ki Du'aa Karne Waalo'n Ka Zikr Karte Huwe Irshaad Farmaaya, Tarjuma - Aur Woh Log (Bhi) Jo Un (Muhaajireen Wa Ansaar) Ke Ba'ad Aaye (Aur) Arz Karte Hai'n, Aye Hamaare Rab ! Hame'n Bakhsh De Aur Hamaare Un Bhaa'iyo'n Ko Bhi Jo Imaan Laane Me'n Ham Se Aage Badh Gaye Aur Hamaare Dilo'n Me'n Imaan Waalo'n Keliye Koi Keena Aur Bugz Baaqi Na Rakh, Aye Hamaare Rab ! Beshak Tu Bahot Shafqat Farmaane Waala Bahot Rahem Farmaane Waala Hai. (Sureh Hashr, Aayat No.10) In Mazkoorah Baala Dono'n Aayaat e Mubaaraka Me'n Faut Shudah Musalmaano'n Keliye Du'aa e Magferat Ka Zikr Kiya Gaya Hai Jisme'n Iss Taraf Waazeh Ishaarah Hai Ke Apne Un Musalmaan Mardo'n Aur Aurato'n Keliye Isaale Sawaab Kiya Ja Sakta Hai Jo Iss Duniya Se Rukhsat Ho Jaaye'n. Isaale Sawaab Ka Saboot Hadees Shareef Se Mulaaheza Farmaaye'n, Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Riwaayat Hai Ke Ek Shakhs Ne Nabi e Kareem ﷺ Ki Khidmat Me'n Arz Kiya Ke Meri Waalidah Ka Achaanak Inteqaal Hogaya Aur Mera Gumaan Hai Ke Agar Woh Kuchh Kehtee'n To Sadqe Ka Kehtee'n, Pas Agar Mai'n Unki Taraf Se Sadqa Karoo'n To Kya Unhe'n Sawaab Paho'nchega ? Farmaaya, Haa'n. (Bukhaari Shareef, Kitaabul Janaa'iz, 1/468, Hadees No.1388) Hazrat Sa'ad Bin Ubaada Radiallaahu Anhu Se Marwi Hai Ke Unho'n Ne Huzoor ﷺ Ki Baargaah Me'n Arz Ki, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Meri Maa'n Ka Inteqaal Hogaya Hai, Unke Liye Kaunsa Sadqa Afzal Hai ? Huzoor ﷺ Ne Farmaaya Paani, To Sa'ad Radiallaahu Anhu Ne Ek Kuwaa'n Khudwaaya Aur Kaha Ke Yeh Kuwaa'n Sa'ad Ki Maa'n Keliye Hai. (Ya'ni Uska Sawaab Unki Rooh Ko Milega). (Abu Daawood Shareef, Kitaabuz Zakaat, 2/180, Hadees No.1681) Isi Tarah Iss Riwaayat Ko Ibne Khuzaima Ne Bhi Riwaayat Kiya Hai Jisme'n Mazeed Tafseelaat Bhi Manqool Huwi Hai'n, Chunaanche Imaam Ibne Khuzaima Iss Hadees Ko Apni Sanad Ke Saath Naqal Karte Huwe Riwaayat Karte Hai'n, Tarjuma - Hazrat Sa'ad Bin Ubaadah Radiallaahu Anhu Kisi Gazwah Me'n Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Nikle To Hazrat Sa'ad Radiallaahu Anhu Ki Waalidah Ki Wafaat Hogayi, Unse Kaha Gaya Wasiyat Kardo, Kehne Lagi Kis Cheez Ki Wasiyat Karoo'n ? Yeh Maal To Sa'ad Ka Hai, Chunaanche Woh Hazrat Sa'ad Ke Aane Se Pehle Wafaat Pa Gayee'n, Jab Hazrat Sa'ad Aaye To Unke Saamne Iss Baat Ka Zikr Huwa To Unho'n Ne Arz Kiya Ya Rasoolallaah ﷺ ! Agar Mai'n Sadqa Kardoo'n To Kya Unko Faa'idah Hoga ? Aap ﷺ Ne Farmaaya Haa'n, Hazrat Sa'ad Radiallaahu Anhu Ne Kaha Fulaa'n Fulaa'n Baag Unki Taraf Se Sadqa Hai Aur Uss Baag Ka Naam Apni Waalidah Ke Naam Par Rakha. (Saheeh Ibne Khuzaima, Hadees No.2496, Jild No.4, Safha No.123) Ya'ni Iss Hadees e Mubaaraka Me'n Iss Cheez Ki Wazaahat Hogayi Hai Ke Koi Shakhs Apne Kisi Nek Amal Ka Faa'idah Kisi Doosre Shakhs Ko Paho'ncha Sakta Hai. Badani Wa Maali Ibaadaat Ka Isaale Sawaab :- Badani Ibaadat Ka Matlab Yeh Hai Ke Woh Ibaadaat Jinka Ta'alluq Insaan Ke Badan Ke Saath Hota Hai Jisme'n Sirf Jismaani Mehnat Darkaar Hai Aur Isme'n Maal Kharch Karne Ki Zaroorat Nahee'n Padti Hai, Maslan Namaaz Padhna, Rozah Rakhna, Tilaawat e Qur'aan Karna, Zikr Wa Azkaar Karna Wagairah, Isko Badani Ibaadat Se Ta'beer Kiya Jaata Hai. Maali Ibaadat Ka Matlab Yeh Hai Ke Woh Ibaadat Jisme'n Insaan Ka Maal Kharch Ho, Maslan Sadqa Karna, Khairaat Karna, Kisi Ko Naqad Raqam Dena, Zakaat Dena, Qurbaani Karna Aur Isi Tarah Ke Deegar Kaam Jisme'n Insaan Ka Maal Allaah Paak Ki Raza Keliye Kharch Hota Ho Usko Maali Ibaadat Kehte Hai'n. Isi Tarah In Dono'n Ke Alaawah Ek Teesri Qism Yeh Bhi Hai Jisme'n Maali Wa Badani Dono'n Ibaadaat Shaamil Hoti Hai'n Ya'ni Woh Ibaadaat Jinme'n Badan Ko Bhi Mushaqqat Uthaani Padti Hai Aur Paisa Bhi Kharch Hota Hai Jaise Hajj Karna Ya Umrah Ada Karna, In Mazkoorah Teeno'n Qism Ki Ibaadaat Ko Isaale Sawaab Kar Sakte Hai'n Aur Inka Mayyat Ko Sawaab Paho'nchta Hai, Chunaanche Imaam Ali Murgeenaani Saahib e Hidaaya (Wisaal 593 Hijri) Likhte Hai'n, Tarjuma - Ahle Sunnah Wa Jamaa'ah Ke Nazdeek Iss Baab Me'n Asal (Ya'ni Qaanoon e Kulli) Yeh Hai Ke Insaan Apne Aa'maal e Saaleha, Namaaz Ya Rozah Ya Sadqa Khairaat Ya Iske Alaawah Kisi Amal Ka Sawaab Doosre Ko Paho'ncha Sakta Hai. (Hidaaya, Jild No.1, Safha No.178) Isi Hawaale Se Fataawa Aa'lamgeeri Me'n Hai, Tarjuma - Iss Baab Me'n (Ya'ni Isaale Sawaab Ke Masle Me'n) Asal Yeh Hai Ke Apne Amal Ka Sawaab Kisi Aur Ke Waaste Kar Dena Jaa'iz Hai Chaahe Woh Amal Namaaz Ho Ya Rozah Ya Sadqa Ya Kuchh Aur Jaise Hajj, Tilaawat e Qur'aan Aur Deegar Azkaar Wazaa'if Aur Ambiya, Shohada, Auliya Aur Saaleheen Ki Qabro'n Ki Ziyaarat Aur Murdo'n Ko Kafan Dena Aur Har Qism Ke Nek Aa'maal. (Fataawa Hindiya (Aa'lamgeeri), Jild No.1, Safha No.257) Isi Tarah Imaam Ibne Qudaama Hambali (Wisaal 620 Hijri) Iss Masle (Isaale Sawaab Ke Masle) Ko Bayaan Karte Huwe Likhte Hai'n, Tarjuma - Insaan Jo Bhi Neki Aur Ibaadat Kare Aur Uska Sawaab Kisi Doosre Musalmaan Ko Bakhsh De To Insha Allaah Uss Murde Ko Uska Sawaab Aur Nafa Zaroor Paho'nchega, Chunaanche Du'aa Wa Astagfaar Aur Sadqa Khairaat Neez Marhoom Ki Chhooti Huwi Waajib (Maali) Ibaadaat Ki Adaayegi Ke Zariye Murde Ko Nafa Wa Sawaab Paho'nchne Me'n Hamaari Daanist (Jankaari) Ke Mutaabiq Ummat Me'n Kisi Ka Ikhtelaaf Nahee'n Hai. Ya'ni Fuqaha e Ummat Ke Nazdeek Isme'n Koi Qabaahat Nahee'n Hai Ke Koi Zindah Musalmaan Kisi Faut Shudah Musalmaan Ko Apni Maali Wa Badani Ya In Dono'n Se Murakkab Ibaadaat Ka Sawaab Isaale Kar Sakta Hai. Teeja, 10va, 20va, 40va, Barsi, Langar, Wagairah Yeh Sab Isaale Sawaab Ki Shakle'n Hai'n Jinko Puraane Aur Kaseer Musalmaan Karte Chale Aarahe Hai'n. Inkaar Karne Waale Ka Hukm :- Hazrat Allaama Maulaana Sayyad Ahmad Sa'eed Kaazmi A'laihir Rehma Farmaate Hai'n Ke Aqaa'id Wa Aa'maal Se Muta'alliq Hamaare Beshumaar Aise Masaa'il Hai'n Jinhe'n Ham Jazm Wa Yaqeen Ke Martabe Me'n Shumaar Nahee'n Karte, Balke Mahez Fazeelat Wa Manqabat Ke Darje Me'n Maante Hai'n, Hatta Ke Agar Koi Nek Dil Taalib e Haq Mahez Daleel Na Milne Ki Wajah Se Hamaare Iss Masle Ko Tasleem Na Kare To Ham Use Bad Aqeedah Nahee'n Kehte, Na Uske Haq Me'n Bura Bhala Kehna Jaa'iz Samajhte Hai'n, Bashart Yeh Ke Uska Inkaar Rasoolullaah ﷺ Ki Adaawat Wa Bugz Wa Keena Ki Wajah Se Na Ho, Nabi e Kareem ﷺ Ke Jism e Aqdas Ka Saaya Na Hona Bhi Baab e Fazaa'il Wa Manaaqib Se Hai (Isi Tarah Isaale Sawaab Se Muta'alliq Masla Bhi Hai) Jispe Kufr Wa Imaan Ka Madaar (Ya'ni Buniyaad) Nahee'n. (Maqaalaat e Kaazmi, 4/57) By Alahazrat Foundation Research Team - 7710809266/9892708816 *Download Sunni Islamic App* https://play.google.com/store/apps/details?id=com.trueislam786.app

Comments