
Aaminah Ki Ammi (Arfa Jahan اقبال)
50 subscribers
About Aaminah Ki Ammi (Arfa Jahan اقبال)
Welcome to *Aaminah ki Ammi*, a channel dedicated to spreading wisdom and enlightenment through religious knowledge. Here, you'll find daily insights and teachings that inspire, uplift, and guide you on the path of righteousness. Nahi main Maulvi hun or nahi main koi Preacher, sirf ek Practicing Muslim hun (who submit to one God/Allah) or bs main jo sikh rahi hun apk sath share krna chahti hun. Join Me to explore timeless principles, gain deeper understanding, and strengthen your faith. Let's grow together in knowledge and spirituality, making every day a step closer to a more meaningful and purposeful life. Main is channel pr Roman English mein likh rahi hun taake har koi padh kar apna deen pukhta kar sake. Aayiye, mil kar knowledge aur spirituality me grow karein, har din ko ek aur meaningful step banayein.
Similar Channels
Swipe to see more
Posts

Zindagi ek pal mein badal sakti hai: Ek phone call se Eek test result se Sadak mein ek galat kadam se Ek ittefaq se Ek shabd se Ya ek aisi situation se jismein aapki koi taqat, ilm, samajh, ya paisa kaam na aaye. Koi bhi nahin jaanta hai ki aane wali pal kya lekar aayenge. Isliye hamesha kehna: *Ae Allah, mujhe apne hifz-o-aman mein rakha, jaise tu apne hifz-o-aman mein rakhta hai.*

As-salamu alayka, my friends Ek university ke professor the jo ek ladki ki ghadi pehante the. Students unki mazak udathe the, jab tak ek din ek student ne unse himmat krk sawal kiya: *"Aap aurat ki ghadi kyun pehante hain?"* Professor ne kaha: *"Yeh meri marhoom beti ki ghadi hai."* Har insaan ke andar dard hota hai, agar wo use zahir kare to log apne aansu tham na skenge. Lekin wo ladte hain or Sabr se rhte hain. Kyunki dusron ki nazron me khud ko mazloom pana, painful hota hai, bhut jyada painful. Or jahan tk mera khayal hai humsb kabhi na kabhi isse guzre hote hain. Zindagi ek bohot badi jang hai, isliye humein makhsoos logon ke dikhawe par nahin jana chahiye, khin unk us hanste hue chehre ke piche koi ghum na chupa ho. *It's fact and it's a research har 3 me se 2 log apne ander ki jung se lad rhe hote hain.* Agar tum sach me dekh or jaan paoge to kahoge, 'kese ye insaan hans pa raha hai, when he has almost, almost dried up of crying so much?' Log *pahad* ki tarah hote hain, jinke andar ke kuch hisse humein nazar nahin aate. Geologists ke mutabiq, pahad ka woh hissa jo humein nazar aata hai, wo to uska sirf ek tihai hissa hai, aur do hisse zameen ke andar chupe hote hain. Bimari usme nahi hai jo hum kha rhe hain, pata hai bimari khata hai? *ye wo hai jo hame ander se khata hai.* Isi tarah, humein bhi apne andar ke dard ko zahir nahin karna chahiye. Hum sabhi ke andar koi na koi dard hota hai, chahe hum use kabool karein ya nahin. My friends Har insaan ke andar ek dard hota hai, chahe woh use kabool kare ya nahin. Har dil mein ek ghussa hota hai, chahe woh use zahir kare ya nahin. Humein makhsoos logon ke dikhawe par nahin jana chahiye. Cheezein hamesha waisi nahin hoti jaisi woh nazar aati hain. Insaan jo shant aur sukoon se baitha hota hai, uske dil mein bhi ek aag jal sakti hai jo sirf Allah ko pata hoti hai. Aur jahan se dhuan nahin nikalta, yeh zaroori nahin hai ki woh andar se jal nahin raha ho. Na hi woh insaan jo gunah karta hai, uske gunah se khush hota hai Aur na hi woh insaan jo neki ka kaam karta hai, uske neki se sukoon se pa pata hai. Na hi woh insaan jo apne pyaron ke saath hai, unke pyar se poora khush ho pata hai, aur na hi woh insaan jo apne pyaron se juda hai, unki judai se sukoon se pata hai. 🤍 🤍 Ek mashhoor kahani hai jo yaad aarhi hai, ek aadmi ke baare mein jo doctor ke paas gaya aur usne doctor se kaha: "Mujhe apne jism mein dard hai, aur mere dil mein ek udaasi hai." Doctor ne uske liye kai tests kiye, aur paya ki uske andar koi bimari hi nahin hai. Doctor ne usse kaha: "Tumhara trauma zehni hai, tumhein apne sukoon hasil krne ki taalash krni chahiye. Tum achi chizen dekho, nayi chizen padho, tum safar karo, tum naye logon se milo." Doctor ne usse kaha: "Ek salah hai tumhare liye, is sheher mein ek bahut hi achha joker hai jiska naam Karlina hai. Woh logon ko hasata hai aur unke dard ko bhulata hai. Tumhein usse milna chahiye." Us aadmi ne doctor ko dekha aur kaha: "Main Karlina hoon, doctor sahab." Wa al-salam alaika, my azizi.

Bhut thore din hain (shaitan zanjeeron me kaid hai) Toh achhi tarah se is mahine ki mehman navazi karo aur apne Rab ke saath apne rishte ko behtar banao. Apne Quran ko tarteeb se padho Apne Rab ki yaad ko zyada karo Aur usse dua karo. Walidain ke saath acha sulook karo Apni sadqa khairat ko zyada karo Apni akhlaq ko buland karo Ghareebon ko madad karo Apne padosiyon ke saath acha sulook karo Apne bachon ke saath sabr karo Unhe apne sath Masjiden lekr jao Aur apne shohar/biwi ke saath pyar se pesh aao. Ramadan sirf khana, pani aur shahwat ko chorne ka mahina nahi hai. Ramadan ek zindagi ka tareeka hai. Ramadan Mubarak

Sahabi Abdullah ibn Mas'ud se poocha gaya: Aap log Ramadan ka mahina kaise istaqbal karte the? Unhone jawab diya: Hum mein se koi bhi itni himmat nahi karta tha ke Ramadan ka chand dekhte waqt apne dil mein apne Muslim bhai ke liye ek boond bhi kinaah (hate/bitterness) rakhte. Ye khauf tha sahabaon ka! Allah humein bhi yahi khauf ata farmae, aur Ramzan ke mahine ka sukoon ata farmae. Ameen!