
Aaminah Ki Ammi (Arfa Jahan اقبال)
March 1, 2025 at 01:23 AM
Bhut thore din hain (shaitan zanjeeron me kaid hai)
Toh achhi tarah se is mahine ki mehman navazi karo aur apne Rab ke saath apne rishte ko behtar banao.
Apne Quran ko tarteeb se padho
Apne Rab ki yaad ko zyada karo
Aur usse dua karo.
Walidain ke saath acha sulook karo
Apni sadqa khairat ko zyada karo
Apni akhlaq ko buland karo
Ghareebon ko madad karo
Apne padosiyon ke saath acha sulook karo
Apne bachon ke saath sabr karo
Unhe apne sath Masjiden lekr jao
Aur apne shohar/biwi ke saath pyar se pesh aao.
Ramadan sirf khana, pani aur shahwat ko chorne ka mahina nahi hai.
Ramadan ek zindagi ka tareeka hai.
Ramadan Mubarak
👍
2