Hira Academy (HA) WhatsApp Channel

Hira Academy (HA)

558 subscribers

About Hira Academy (HA)

An authentic source of Islamic knowledge...

Similar Channels

Swipe to see more

Posts

Hira Academy (HA)
Hira Academy (HA)
6/20/2025, 3:08:47 PM

*Qayamat ka din aur namaz kayam n karne wale:* jiss din saaq( pindali )khol di jaye gi , aur inn ko sajday kay liye bulaya jaye ga to yeh sajda ker nahi saken gay . inn ki nigahen jhuki hoi hon gi , inn per zillat chai hoi hogi . uss waqt bhi unhen sajday kay liye bulaya jata tha jab yeh log sahih saalim thay , ( uss waqt qudrat kay bawajood yeh inkar kertay thay ) Surah al qalam ayat 42-43 Paanch waqt ki namaaz ikhtiyaari nahin, farz hai, sukoon hai. Aap zimmedaar hain aur aapko jawaabdeh thehraaya jaayega. Aapke khyaal mein aap apne Rab ke saath mulaaqaat se mehroom hone waale kaun hain? Woh jo sabse buland hai, jo tamaam ibaadaton ke laayak hai.

😢 1
Hira Academy (HA)
Hira Academy (HA)
6/20/2025, 2:09:35 PM

*Kitab ut Tawheed* *Baab (25)باب مَا جَاءَ فِي قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى ‏{‏إِنَّ رَحْمَةَ اللَّهِ قَرِيبٌ مِنَ الْمُحْسِنِينَ* *Sahih al-Bukhari 7448* Nabi Kareem ﷺ ki ek sahabzaadi (Hazrat Zainab رضی اللہ عنہا) ka beta jaan-kani ke alam mein tha, to unhon ne Rasoolullah ﷺ ko bula bheja. Rasoolullah ﷺ ne unhein paighaam bheja: *"Allah ka hi hai jo woh leta hai, aur Allah ka hi hai jo woh deta hai. Har cheez ke liye ek muqarrar muddat hai. To sabr karo aur is par sawab ki umeed rakho."* Lekin unhon ne phir dobara paighaam bheja aur qasam dekar bulaya. Chunanche Rasoolullah ﷺ uth kar chale aur main (rawi) bhi aap ﷺ ke saath gaya. Hazrat Mu’az bin Jabal, Ubayy bin Ka’b aur ‘Ubadah bin Saamit رضی اللہ عنہم bhi saath the. Jab hum aap ﷺ ki sahabzaadi ke ghar pohonche, to logon ne us bache ko aap ﷺ ki godh mein rakh diya. Us waqt bache ki saans phooli hui thi, aisa lagta tha jaise purani mashk (pani ka mashkza) ho. *Ye manzar dekh kar Rasoolullah ﷺ ro diye.* To Hazrat Sa’ad bin Ubadah رضی اللہ عنہ ne arz ki: *"Ya Rasoolullah ﷺ! Aap ro rahe hain?"* Aap ﷺ ne farmaya: *"Allah apne un bandon par hi reham karta hai jo doosron par reham karte hain."* *📖 Fath al-Bari (Sharh by Ibn Hajar al-Asqalani) mein Wazahat:* *"Allah ka hi hai jo woh leta hai, aur Allah ka hi hai jo woh deta hai..."* → Ibn Hajar ke mutabiq, yeh jumla *Qaza o Qadr (تقدیر) ke aqaid ki ta'leem* deta hai. Ismein ye sabak hai ke har cheez ka malik Allah hai, aur wohi uska lenewala aur denewala hai. Banda apne gham ke waqt sabr kare, kyunki jo kuch bhi hota hai, Allah ke ilm aur hikmat ke mutabiq hota hai. *"Har cheez ke liye ek muqarrar muddat hai"* → Iska matlab yeh hai ke kisi ki *maut ya zindagi* kisi ke chahne ya ro lene se nahi badalti. Fath al-Bari ke matn mein yeh baat tafseel se aayi hai ke *insaan ki maut ek tay shuda waqt* par hoti hai, aur isme koi ta’khir ya taqdeem nahi hoti. *Nabi ﷺ ka rona:*u → Ibn Hajar ke mutabiq, yeh hadees is baat ka daleel hai ke *roona gham mein jaiz* hai jab tak usme *sabr ho aur shikwa na ho.* Nabi ﷺ ka rona *rahm aur shafqat ka izhar* tha, na ke kisi taqdeer par nafrat ya bay-chaini. Sa’d bin Ubadah رضی اللہ عنہ ke sawal par Nabi ﷺ ne jawab diya: *"Innamaa yarhamu Allahu min ‘ibaadihi ar-ruhamā"* *"Allah sirf un bandon par reham karta hai jo doosron par reham karte hain."* *Rahm aur Insani Jazbaat:* → Ibn Hajar likhte hain ke is hadith mein rahm aur insani jazbaat ki *qadr aur shar'an ijazat* sabit hoti hai. Deeni logon ka bhi kabhi kabhi rona koi nuqsan nahi, balki ye unke qalb ke narmi aur rehmat ka saboot hai. *📌 Asli Paighaam:* ✅ Sabr aur Tawakkul ka dars. ✅ Musibat ke waqt shikayat nahi, rehmat aur dua ka rawayya. ✅ Rona insani fitrat hai, lekin usme shari’ hudood ka khayaal ho. *Hira Academy* https://whatsapp.com/channel/0029Vb43GNb96H4aH2IDZk0c

❤️ 1
Hira Academy (HA)
Hira Academy (HA)
6/20/2025, 5:18:38 AM

*Kitab ut Tawheed* *Baab 24 بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وُجُوهٌ يَوْمَئِذٍ نَاضِرَةٌ إِلَى رَبِّهَا نَاظِرَةٌ}* *Sahih al-Bukhari 7446* Nabi Kareem ﷺ ne farmaya: *"Teén aadmi aise hain jinse Allah Ta'ala Qayamat ke din na baat karega aur na unki taraf rehmat se dekhega:* *1️⃣ Ek woh shakhs jisne kisi saamaan ke baare mein jhooti qasam khai ke usne is qeemat par khareeda hai, jabke woh jhootha hai.* *2️⃣ Dusra woh shakhs jisne Asr ke baad jhooti qasam is liye khai taake kisi Musalman ka maal na-haqq le le.* *3️⃣ Aur teesra woh shakhs jisne zarurat se zyada paani maangne wale ko nahi diya.* To Allah Ta'ala qayamat ke din usse kahega: *"Jis tarah tu ne apni banaayi hui cheez bhi na hone ke bawajood, apne paas ke fuzool (zaid) maal se kisi ko roka, main bhi tujhe apna fazl nahi doonga."* *Hira Academy* https://whatsapp.com/channel/0029Vb43GNb96H4aH2IDZk0c

❤️ 👍 3
Hira Academy (HA)
Hira Academy (HA)
6/1/2025, 1:53:24 PM
❤️ 1
Hira Academy (HA)
Hira Academy (HA)
6/1/2025, 8:37:02 PM

✨ *Zul Hijja Ke 10 Din* ✨ 🎙Shaikhul Islam Ibn Taymiyah Rahimahullah Farmate Hain: *_Zul Hijja Ke Pehle Ashre Ke Din Ramzan Ke Aakhri Ashre Se Afzal Hain Aur Raatein Ramzan Ke Akhri Ashre Ki Afzal Hain._* 📗Majmu Al-Fatawa: 25/287

Post image
Image
Hira Academy (HA)
Hira Academy (HA)
6/1/2025, 8:52:07 PM

✨ *Zil-Hajj Ke 10 Din – Ibadat* Checklist 📝 (1st–10th Zil-Hajj: Jannat kamaane ka golden chance!) *📿 1. Takbeeraat-e-Tashreeq:* ✨ “Allahu Akbar, Allahu Akbar, Laa ilaaha illallaahu Wallaahu Akbar, Allahu Akbar wa Lillaahil Hamd” (Bar-bar padho — subah shaam, ghar me, safar me, kaam ke darmiyan.) *📖 2. Qur’an Qatam:* Agar ho sake to in 10 dinon me 1 baar Qur’an mukammal karo *🕋 3. Namaz Time + Nafl:* Farz kabhi miss na ho Tahajjud, Ishraq, Chasht, Awwabeen jaisi Nafl bhi padho *🌙 4. Roze (1st–9th Zil-Hajj):* Agar ho sake to pehle 9 din roza rakho – Aur khaaskar 9 Zil-Hajj (Yaum-e-Arafah) ka roza: 2 saal ke gunaahon ka kaffara 💫 *💸 5. Sadqa aur Khairaat:* Chaahe choti si madad ho — Allah ke liye karo – Kisi ko paani pila do – Kisi ko khana de do *💬 6. Zikr o Azkaar:* “SubhanAllah, Alhamdulillah, Allahu Akbar” “Laa ilaaha illallaah” “Astaghfirullaah” Har waqt zaban ko busy rakho, mobile se zyada Allah yaad rakho. 🤍 Bonus: In 10 dinon ka har pal valuable hai. Shopping aur social media me zyada waqt zaya na karo. Apne Rab ko razi kar lo — Eid se pehle apne liye Jannat tayyar kar lo. 🤲. Sab ko share kro. *Zill hajj ke shuru ke 10 din me SubhanAllah bolna, ramzan ke dino me bolne se behtar hein* Thoda bada h, lekin nahi pade, to apka loss hoga. _Zill hajj ke 10 din ke baare me maximum logo ko nahi pata._ *Nabi ﷺ ne farmaya:* *"Koi bhi din aise nahi jisme nek amal Allah ko itna pasand aaye jitna ke Zil-Hajj ke pehle 10 dinon me aata hai."* ⁉️Sahaba ne poocha: "Ya Rasool Allah ﷺ, kya jihad bhi in dinon ke amal se behtar nahi?" 🎙Rasool Allah ﷺ ne farmaya: _"Nahi, jihad bhi nahi — siwai us shakhs ke jo apni jaan aur maal ke saath jihad ke liye nikla, phir kuch wapas na laya."_ 📘(Sahih Bukhari – Hadees No. 969) 🌱 Fazilat: _Zil-Hajj ke pehle 10 din sabse afzal dinon me se hain._ 🍃 *In dinon me roza, namaz, tilawat, sadqa, aur dusre nek amal ka double reward milta hai.* 🍃 *9 Zil-Hajj ka roza (Yaum-e-Arafah) gunaahon ka kaffara ban jata hai (ek pichhle saal aur ek agle saal ke liye).* https://whatsapp.com/channel/0029Vb43GNb96H4aH2IDZk0c 🔔ㅤ   📤 *ғᴏʟʟᴏw* *sʜᴀʀᴇ* 💫 *جزاکم الله خيرا كثيرا و بارك الله فيكم*💫

❤️ 1
Hira Academy (HA)
Hira Academy (HA)
6/2/2025, 4:59:45 AM

*اَلسَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللّٰـهِ وَبَرَكاتُهُ‎* *10 days Quiz - Dhul hijjah* *Final Quiz: 30th May* *Result & Certificate: Any day before Eid ul Adha* *جزاکم الله خيرا و بارك الله فيكم*

❤️ 👍 5
Hira Academy (HA)
Hira Academy (HA)
6/1/2025, 11:53:19 AM

✨ *1 se 13 Zul Hijjah ko Suraj Ghuroob Hone Tak Padhi Jane Wali* ✨ 🍃 *_Takbeeraat_* 🍃 *اَللهُ أَكْبَرُ اَللهُ أَكْبَرُ لَآ إِلٰهَ إِلَّا اللهُ وَاللهُ أَكْبَرُ اَللهُ أَكْبَرُ وَللهِ الْحَمْدُ* *_Allah Sabse Bada Hai, Allah Sabse Bada Hai, Allah ke Siwa Koi Ma'bood Nahi, Aur Allah Sabse Bada Hai, Allah Sabse Bada Hai, Aur Allah ke Liye hi Sab Tareef Hai._* 📘Musannaf Ibne Abi Shaibah: 5651

Post image
Image
Hira Academy (HA)
Hira Academy (HA)
5/31/2025, 2:14:00 PM

https://youtu.be/D-jMarKpYnM?si=yuPZLenw4-_QiT5t

Hira Academy (HA)
Hira Academy (HA)
6/2/2025, 7:53:36 AM
❤️ 🌹 💐 3
Link copied to clipboard!