Hira Academy (HA)
Hira Academy (HA)
June 1, 2025 at 08:52 PM
✨ *Zil-Hajj Ke 10 Din – Ibadat* Checklist 📝 (1st–10th Zil-Hajj: Jannat kamaane ka golden chance!) *📿 1. Takbeeraat-e-Tashreeq:* ✨ “Allahu Akbar, Allahu Akbar, Laa ilaaha illallaahu Wallaahu Akbar, Allahu Akbar wa Lillaahil Hamd” (Bar-bar padho — subah shaam, ghar me, safar me, kaam ke darmiyan.) *📖 2. Qur’an Qatam:* Agar ho sake to in 10 dinon me 1 baar Qur’an mukammal karo *🕋 3. Namaz Time + Nafl:* Farz kabhi miss na ho Tahajjud, Ishraq, Chasht, Awwabeen jaisi Nafl bhi padho *🌙 4. Roze (1st–9th Zil-Hajj):* Agar ho sake to pehle 9 din roza rakho – Aur khaaskar 9 Zil-Hajj (Yaum-e-Arafah) ka roza: 2 saal ke gunaahon ka kaffara 💫 *💸 5. Sadqa aur Khairaat:* Chaahe choti si madad ho — Allah ke liye karo – Kisi ko paani pila do – Kisi ko khana de do *💬 6. Zikr o Azkaar:* “SubhanAllah, Alhamdulillah, Allahu Akbar” “Laa ilaaha illallaah” “Astaghfirullaah” Har waqt zaban ko busy rakho, mobile se zyada Allah yaad rakho. 🤍 Bonus: In 10 dinon ka har pal valuable hai. Shopping aur social media me zyada waqt zaya na karo. Apne Rab ko razi kar lo — Eid se pehle apne liye Jannat tayyar kar lo. 🤲. Sab ko share kro. *Zill hajj ke shuru ke 10 din me SubhanAllah bolna, ramzan ke dino me bolne se behtar hein* Thoda bada h, lekin nahi pade, to apka loss hoga. _Zill hajj ke 10 din ke baare me maximum logo ko nahi pata._ *Nabi ﷺ ne farmaya:* *"Koi bhi din aise nahi jisme nek amal Allah ko itna pasand aaye jitna ke Zil-Hajj ke pehle 10 dinon me aata hai."* ⁉️Sahaba ne poocha: "Ya Rasool Allah ﷺ, kya jihad bhi in dinon ke amal se behtar nahi?" 🎙Rasool Allah ﷺ ne farmaya: _"Nahi, jihad bhi nahi — siwai us shakhs ke jo apni jaan aur maal ke saath jihad ke liye nikla, phir kuch wapas na laya."_ 📘(Sahih Bukhari – Hadees No. 969) 🌱 Fazilat: _Zil-Hajj ke pehle 10 din sabse afzal dinon me se hain._ 🍃 *In dinon me roza, namaz, tilawat, sadqa, aur dusre nek amal ka double reward milta hai.* 🍃 *9 Zil-Hajj ka roza (Yaum-e-Arafah) gunaahon ka kaffara ban jata hai (ek pichhle saal aur ek agle saal ke liye).* https://whatsapp.com/channel/0029Vb43GNb96H4aH2IDZk0c 🔔ㅤ   📤 *ғᴏʟʟᴏw* *sʜᴀʀᴇ* 💫 *جزاکم الله خيرا كثيرا و بارك الله فيكم*💫
❤️ 1

Comments