Mufti Wasim Akram Razavi
Mufti Wasim Akram Razavi
January 20, 2025 at 05:09 AM
*Buzurgon Ki Tanhai Aur Aalime Deen Ki Saadat* Maine kuch dino pehle ek mazmoon parha tha, jiska khulasa kuch is tarah tha ke ek buzurg shakhs, jise uski aulaad ne akela chhod diya tha, roz akhbaar kharidta tha. Halaanke wo usse padhta nahi tha, sirf is liye ke is bahaane kam az kam akhbaar lane wale ki awaaz sun le aur uske zariye usse kuch apnapan mehsoos ho jaye. Is tarah tanhai ki udaasi aur dukh kuch to kam ho jaye. Aaj main soch raha tha ke is zamane me aksar buzurg tanhai aur udaasi ka shikar hain, chahe unki jawani kisi bhi shauba se taluq rakhti ho. In buzurgon ka khayal rakhne aur unke dukh door karne ki zarurat hai. Lekin ek amal karne wala Aalime Deen aisa hota hai ke jab wo buzurg ho jata hai, to log uski taraf pehle se zyada tawajjo dete hain. Usse tanhai aur udaasi ka samna nahi karna padta. Ye ALLAH Paak ki taraf se ek Aalime Deen par khaas inayat hai. *✍️: Mohammad Wasim Akram Razavi* Titlagarh, Balangir, Odisha
❤️ 👍 😂 😢 🤣 40

Comments