
Mufti Wasim Akram Razavi
January 21, 2025 at 05:00 PM
*Do Badi Bimariyon Ki Alamat*
Check-up Zaroor Karwayen
Agar Tazkira-e-Ahl-e-Bait par aap ko kisi bhi qisam ki pareshaani mehsoos ho, to foran apna ilaaj karwayen, *kyunki ye Nasbiyat ki alamat hai.*
Agar Tazkira-e-Sahaba par aap ko kisi bhi qisam ki pareshaani mehsoos ho, to foran apna ilaaj karwayen, kyunki ye *Rafziyat ki alamat hai.*
Ahl-e-Sunnat wa Jamaat to yun kehte hain:
"Ahl-e-Sunnat ka hai beda paar Ashab-e-Huzoor
Najm hain aur nao hai Itrat Rasoolullah ki"
*Hasnain Kareemain humare sardaar hain.*
Hazrat Huzaifa bin Yaman رضی اللہ عنہ se riwayat hai:
أتاني ملكٌ فسلمَ عليَّ، نزلَ منَ السماءِ لمْ ينزلْ قبلَها، فبشرني أنَّ الحسنَ والحسينَ سيدا شبابِ أهلِ الجنةِ، وأنَّ فاطمةَ سيدةُ نساءِ أهلِ الجنةِ
ALLAH ke Rasool ﷺ ne farmaya:
"Mere paas ek farishta aaya, usne mujhe salaam kiya. Wo aasman se utra, aisa farishta jo isse pehle kabhi nahi utra tha. Usne mujhe khushkhabri di ke *Hasan aur Husain Jannati naujawano ke sardaar hain aur Fatima Jannat ki aurton ki sardaar hain."*
(As-Suyuti, Al-Jami’ As-Sagheer)
*Ye fazilat sun kar koi pareshaani toh nahi hui??*
*Tamam Sahaba-e-Kiram hidayat ke sitaare hain.*
Hazrat Jabir bin Abdullah رضی اللہ عنہ se riwayat hai:
أصحابي كالنُّجومِ بأيِّهِمُ اقتديتُمُ اهتديتُم
Rasool Allah ﷺ ne farmaya:
"Mere Sahaba sitaron ki manind hain, tum in me se jis ki bhi pairvi karoge, hidayat paoge."
(Ibn Hajar Al-Asqalani, Al-Kafi Ash-Shafee, Safah: 161)
Hazrat Ameer Muawiya رضی اللہ عنہ hidayat dene wale aur hidayat paane wale hain, aur haan, Momino ke Maamoon bhi hain.
Nabi Akram ﷺ ne farmaya:
اللهم اجعله هاديا مهديا واهد به
(Tirmidhi, Hadith: 3842)
Aur Hazrat Mulla Ali Qari رحمہ اللہ farmate hain:
(وَعَنْ مُعَاوِيَةَ) أَيِ: ابْنِ أَبِي سُفْيَانَ وَهُوَ خَالُ الْمُؤْمِنِينَ
(Mirqat Al-Mafatih Sharh Mishkat Al-Masabih, 3258/8)
*Aap ko koi pareshaani toh nahi hui na???*
Kia baat hai! Aap ka check-up mukammal hua, aur report negative aayi.
*Mubarak ho!*
(Ye tahreer mai ne corona ke zamane me likhi thi aaj phir share ki hai)
*✍️: Muhammad Wasim Akram Razavi*
Titlagarh, Balangir, Odisha
❤️
💯
👍
🥰
24