Mufti Wasim Akram Razavi
Mufti Wasim Akram Razavi
January 28, 2025 at 05:50 AM
*Social Media par Ehtiyaat: Neki ya Gunah?* Status lagane ya koi bhi paigham aage share karne me ehtiyaat karein. Agar wo kisi neki ka paigham deta hai to yaqeenan ye bohot achhi baat hai. Lekin agar usme koi gunah bhara paigham ho to iska anjaam bohot bura ho sakta hai. ALLAH ke Rasool ﷺ ne farmaya: "Jis ne Islam me koi achha tareeqa jari kiya aur us par amal kiya gaya to uske liye uska ajar likha jayega aur un logon ke ajar ke barabar bhi jo us par amal karenge, aur unke ajar me koi kami nahi ki jayegi. Aur jis ne Islam me koi bura tareeqa jari kiya aur us par amal kiya gaya to us par uska gunah bhi likha jayega aur un logon ke gunahon ke barabar bhi jo us par amal karenge, aur unke gunahon me koi kami nahi ki jayegi." (Sahih Muslim) Agar koi najaiz paigham share kar diya jaye aur tauba bhi na kia jae aur wo qayamat tak chalta rahe to inteqal ke baad bhi gunahon ka silsila jaari reh sakta hai, jisse qabr me azaab badh sakta hai. Aksar aisa hota hai ke ham apni kam ilmi ki wajah se kisi baat ko neki samajh kar share kar dete hain halan ke wo najaiz hoti hai. Masalan: Kisi Qurani aayat ko video ki surat me share karna jisme be-parda khawateen ya music shamil ho. Kabhi koi baat Hadees Paak kah kar share kar di jaati hai halan ke wo hadees nahi hoti. Lihaza, sharing se pehle paigham ke sahi aur jaiz hone ki tasdeeq zaroor karein taake neki ka zariya banen, na ke gunah ka. *✍️: Muhammad Wasim Akram Razavi* Titlagarh Balangir Odisha Hind
❤️ 👍 😂 14

Comments