
سنہرے اوراق📜📜
February 9, 2025 at 04:33 AM
Zindagi Ki Sabse Badi Haqiqat Yehi Hai Ke Ye Gair Yaqeeni Hai. Hum Jitni Bhi Mansooba Bandi Kar Lein, Qudrat Ke Faislay Hamesha Hamari Soch Se Mukhtalif Hote Hain.
Kuch Log Hamare Sath Hamesha Ke Liye Rehne Wale Lagte Hain, Lekin Waqt Ke Sath Woh Bichhar Jate Hain.
Kuch Khwab Humein Sach Hote Nazar Aate Hain, Magar Aik Pal Mein Bikhar Jate Hain.
Kuch Raste Hamare Qadmon Ke Humsafar Lagte Hain, Magar Manzil Se Pehle Hi Juda Ho Jate Hain.
Kuch Lamhe Dil Ke Qareeb Mehsoos Hote Hain, Magar Waqt Ki Aandhi Unhein Kahin Door Le Jati Hai.
Kuch Rishte Sadiyon Ke Liye Bante Hain, Magar Halaat Ki Gard Unhein Dhundla Kar Deti Hai.
Kuch Waday Pathar Ki Lakeer Maloom Hote Hain, Magar Haqeeqat Ki Dhoop Mein Mom Ki Tarah Pighal Jate Hain.
Kuch Yaadein Hamesha Taaza Rehne Wali Lagti Hain, Magar Waqt Ke Sath Dhundhli Ho Jati Hain.
https://whatsapp.com/channel/0029VaIhMhjK5cDC2QYoE02O
Lekin Yehi Zindagi Ka Husn Bhi Hai, Ye Humein Sikhati Hai Ke Gir Kar Uthna, Haar Maan Kar Bhi Aage Barhna, Aur Andheron Mein Umeed Ka Chiragh Jalaaye Rakhna Zaroori Hai...
✍︎: Ibne Mazhar Kibriya
❤️
👍
💯
✅
👌
🫡
29