꧁✰٘عُلَمـٰـاءٕهِــنْـد✰꧂
꧁✰٘عُلَمـٰـاءٕهِــنْـد✰꧂
February 12, 2025 at 04:19 AM
🟧 *`Rozana "3" Sunnate`* 🟧 ✦ Ghar Ghar me "Sunnato" ka Muzakira ✦ Book No.2 📗 "𝗔𝗹𝗮𝗶𝗸𝘂𝗺 𝗯𝗶 𝗦𝘂𝗻𝗻𝗮𝘁𝗶" *Hazrat Mufti Abdul Hakeem Sahab Sukkurvi R.A* (Khalifa - Mufti e Azam Hazrat Mufti Shafi Usmani Sahab Deobandi R.A) 🔴☘️🔴☘️🔴☘️🔴☘️🔴☘️ Namaz ko Sunnat ke mutaabiq adaa karna hi kaamil tareeqa hai. khilaaf e sunnat kitni bhi aajizi ki surat ho khaabil e etebaar Nahi. isliye Sunnaton ka khoob khiyaal rakhna chahiye. (_noorul izah_) ✦ *Namaz ki Sunnate:* *Sunnat No.9️⃣4️⃣* Mard ko niyyat baandhte waqt dono haatho ko kaano tak uthaana aur auraton ko kandho tak haath uthaana. (Niyyat dil me karle ke falan namaz padh raha hu. zuban se niyyat karna zaroori Nahi, behtar hai.) *Sunnat No.9️⃣5️⃣* Haath uthaate hue dono haath ki hatheliyo aur ungliyon ko Qibla rukh rakhna aur bilaa qasad o iraade, jis qadar ungliya khule khuli rehne dena. apne iraade se Na inko milaana chahiye, Na kholna chahiye. *Sunnat No.9️⃣6️⃣* Allahu Akbar keh kar mard ko Naaf ke neeche haath is tarha haath baandhna ke baaya haath neeche rahe, aur daaya haath uper rahe aur auraton ko isee tarha seene par haath par haath rakhna. 📚 *"Alaikum bi Sunnati",* *Page No. 30, 31.* 🔴☘️🔴☘️🔴☘️🔴☘️🔴☘️

Comments