Urdu Motivation 💌
February 16, 2025 at 08:06 AM
__Tum samjh jana, jab mein kuch na keh sakun. tum khud se kuch bhi kehna shuru kardena. magr khud se sab kuch farz kar ke kamosh mat hojana. sochna, yaad karna, woh sab jo mene tumse kaha tha. mene tumhe jo bataya tha. yaad rakhna, tumhari ahmiyat hamesha meri maamooli si narazgi se ziyada hai. bht ziyada hai. yeh loug mujhe bht kamosh kehte hain. magr mein kamosh nahi hun, mein bas tumhari talash mein hun. tum muje milo tou mein un sab alfaazon ko awaz mein dhaldun jo mein sochta hun, jo bhi likhta hun woh sab kehdun tumse. bas agar kabhi pucho tou. mein bht sakht hun, magr tumhare liye dil ka ek hissa mene akhaz kar ke rakha hua hai._
_کتنے قریب قریب گھر ہیں ہمارے پھر بھی_
_کتنا دور رہتے ہیں ہم اک دوسرے سے_
__it'X Mīrza_🧠🛰️⚠️
❤️
👍
😢
4